बोलते ही रहते हैं
झूठ
कई-कई तरह के
और पता भी नहीं चलता
कब बोल गए झूठ
चलता भी होगा शायद
ज़रा-सा अटकती होगी
फर्राटे से दौड़ती हुई ज़ुबान जब
रुकते ही
और दूनी तेज़ी से दौड़-दौड़ जाती होगी
आँखें तो एकदम हैरान करती हैं जब
हँसती-खिलती
खेलती खेल
बोल रही होती हैं
भीतर वह
दुबका हुआ
ज़िबह हुआ जाता है
मुहावरे की तरह जैसे
काटो तो ख़ून नहीं
कहते ही सच तुम
देश
खो देते हो
समय में यकायक
रुका हुआ श्वास
फिर साँस जब आती है
तुम लुट चुके होते हो
कैसे तुमने कहा वह
जो मैंने नहीं सुना
तुम ख़ुश हो गईं
और कैसे मैंने कहा
जिसे ख़ुद मैंने नहीं सुना
और तुम ख़ुश हो गईं
पता था दोनों को
जैसे पता होती है
पते की बात…
bolte hi rahte hain
jhooth
kai kai tarah ke
aur pata bhi nahin chalta
kab bol gaye jhooth
chalta bhi hoga shayad
zara sa atakti hogi
pharrate se dauDti hui zuban jab
rukte hi
aur duni tezi se dauD dauD jati hogi
ankhen to ekdam hairan karti hain jab
hansti khilti
khelti khel
bol rahi hoti hain
bhitar wo
dubka hua
zibah hua jata hai
muhaware ki tarah jaise
kato to khoon nahin
kahte hi sach tum
desh
kho dete ho
samay mein yakayak
ruka hua shwas
phir sans jab aati hai
tum lut chuke hote ho
kaise tumne kaha wo
jo mainne nahin suna
tum khush ho gain
aur kaise mainne kaha
jise khu mainne nahin suna
aur tum khush ho gain
pata tha donon ko
jaise pata hoti hai
pate ki baat…
bolte hi rahte hain
jhooth
kai kai tarah ke
aur pata bhi nahin chalta
kab bol gaye jhooth
chalta bhi hoga shayad
zara sa atakti hogi
pharrate se dauDti hui zuban jab
rukte hi
aur duni tezi se dauD dauD jati hogi
ankhen to ekdam hairan karti hain jab
hansti khilti
khelti khel
bol rahi hoti hain
bhitar wo
dubka hua
zibah hua jata hai
muhaware ki tarah jaise
kato to khoon nahin
kahte hi sach tum
desh
kho dete ho
samay mein yakayak
ruka hua shwas
phir sans jab aati hai
tum lut chuke hote ho
kaise tumne kaha wo
jo mainne nahin suna
tum khush ho gain
aur kaise mainne kaha
jise khu mainne nahin suna
aur tum khush ho gain
pata tha donon ko
jaise pata hoti hai
pate ki baat…
स्रोत :
रचनाकार : अतुलवीर अरोड़ा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.