मैंने उसे ख़त लिखा था
और अब पते की ज़रूरत थी
मैंने डायरियाँ खंगाली
किताबों के पुराने कबाड़ में खोजा
फ़ोन पर कई हितैषियों से पूछा
और हारकर बैठ गया
हारा बैठा जिस हरियल वृक्ष के नीचे
ऊपर से एक पत्ता टपका
एक नन्हीं चिड़िया प्यार से मुझे
देखती थी
मैं रो-रो पड़ता था
मैंने उसे ख़त लिखा था
और अब पते की ज़रूरत थी
हर बार ज़रूरत का ख़याल आते ही
मैं असहाय बैठ जाता था यहाँ-वहाँ
धरकर सिर पर हाथ
बाल नोंचता भटकता फिरता था
अब जिस पेड़ के नीचे बैठा था
ऊपर डाल पर बैठी चिड़िया थोड़ी हिली
चमकी उसकी गोल-गोल पुतलियाँ
उसने चोंच खोली
और एक तिनका मेरी गोद में गिरा दिया
mainne use khat likha tha
aur ab pate ki zarurat thi
mainne Dayariyan khangali
kitabon ke purane kabaD mein khoja
phone par kai hitaishiyon se puchha
aur harkar baith gaya
hara baitha jis hariyal wriksh ke niche
upar se ek patta tapka
ek nanhin chiDiya pyar se mujhe
dekhti thi
main ro ro paDta tha
mainne use khat likha tha
aur ab pate ki zarurat thi
har bar zarurat ka khayal aate hi
main asahaye baith jata tha yahan wahan
dharkar sir par hath
baal nonchta bhatakta phirta tha
ab jis peD ke niche baitha tha
upar Dal par baithi chiDiya thoDi hili
chamki uski gol gol putliyan
usne chonch kholi
aur ek tinka meri god mein gira diya
mujhe pata mil chuka tha!
mainne use khat likha tha
aur ab pate ki zarurat thi
mainne Dayariyan khangali
kitabon ke purane kabaD mein khoja
phone par kai hitaishiyon se puchha
aur harkar baith gaya
hara baitha jis hariyal wriksh ke niche
upar se ek patta tapka
ek nanhin chiDiya pyar se mujhe
dekhti thi
main ro ro paDta tha
mainne use khat likha tha
aur ab pate ki zarurat thi
har bar zarurat ka khayal aate hi
main asahaye baith jata tha yahan wahan
dharkar sir par hath
baal nonchta bhatakta phirta tha
ab jis peD ke niche baitha tha
upar Dal par baithi chiDiya thoDi hili
chamki uski gol gol putliyan
usne chonch kholi
aur ek tinka meri god mein gira diya
mujhe pata mil chuka tha!
स्रोत :
पुस्तक : होने की सुगंध (पृष्ठ 21)
रचनाकार : प्रकाश
प्रकाशन : शिल्पायन पब्लिशर्स एंड डिस्ट्रीब्यूटर्स
संस्करण : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.