धीरे-धीरे सूर्य अब
पश्चिमांचल की ओर बढ़ चला है
उसने दिन का काम निपटा लिया है
उसका माथा ठंडा है अब।
मुझे सूर्य की परछाइयाँ मिली हैं
एक-आध, इधर-उधर, छिटकी-बिखरी
उन्हें छूता हूँ,
मुझे तलाश है सूर्य की।
सूर्य ठीक पश्चिम ढलान से उतर जाएगा
अनंत में।
मैंने भी अपना काम निपटा लिया है
सूर्य के साथ भागते सूर्य की परछाइयों के साथ दौड़ में
ठीक पश्चिम दिशा की ढलान की ओर,
लिखकर रख दिया है एक पत्रनुमा किताब में
अपनी ज़िंदगी के रहस्य-वृत्तांत
अनजान पाठक-पथिक-जिज्ञासु के लिए।
मैं सूर्य से पहले पहुँचूँगा पश्चिम की ढलान
और हम एक साथ उतर जाएँगे
अतल अनंत में
किसी जल-प्रपात की तरह।
dhire dhire surya ab
pashchimanchal ki or baDh chala hai
usne din ka kaam nipta liya hai
uska matha thanDa hai ab
mujhe surya ki parchhaiyan mili hain
ek aadh, idhar udhar, chhitki bikhri
unhen chhuta hoon,
mujhe talash hai surya ki
surya theek pashchim Dhalan se utar jayega
anant mein
mainne bhi apna kaam nipta liya hai
surya ke sath bhagte surya ki parchhaiyon ke sath dauD mein
theek pashchim disha ki Dhalan ki or,
likhkar rakh diya hai ek patranuma kitab mein
apni zindagi ke rahasy writtant
anjan pathak pathik jigyasu ke liye
main surya se pahle pahunchunga pashchim ki Dhalan
aur hum ek sath utar jayenge
atal anant mein
kisi jal prapat ki tarah
dhire dhire surya ab
pashchimanchal ki or baDh chala hai
usne din ka kaam nipta liya hai
uska matha thanDa hai ab
mujhe surya ki parchhaiyan mili hain
ek aadh, idhar udhar, chhitki bikhri
unhen chhuta hoon,
mujhe talash hai surya ki
surya theek pashchim Dhalan se utar jayega
anant mein
mainne bhi apna kaam nipta liya hai
surya ke sath bhagte surya ki parchhaiyon ke sath dauD mein
theek pashchim disha ki Dhalan ki or,
likhkar rakh diya hai ek patranuma kitab mein
apni zindagi ke rahasy writtant
anjan pathak pathik jigyasu ke liye
main surya se pahle pahunchunga pashchim ki Dhalan
aur hum ek sath utar jayenge
atal anant mein
kisi jal prapat ki tarah
स्रोत :
रचनाकार : आदित्य शुक्ल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.