कह देने भर से कहा जा सकता तो
प्रेम करती हूँ
ऐसा कहकर मन कह डालती
लेकिन वह इतना ही मुश्किल है
जितना यूँ चुप रहना
बावजूद इसके कि गर्मियों में भी मेरे होंठों से
हरसिंगार झरता है
और सर्दियों में भी चेहरे पर गुलमोहर की लालिमा छाई हुई है
मैं तुम्हारे होने भर से संतुष्ट होती हूँ
बच्चों संग बच्ची बन बैठती हूँ
राह चलते लोगों को देखकर
मुस्कुराती हूँ और अपने इर्द-गिर्द के लोगों में
सिर्फ़ अच्छाइयाँ तलाशती हूँ
हँसी में सारे अंतर्विरोध टाल देती हूँ
और तुमसे मिलने की कोई संभावना न होते हुए भी
काजल और बिंदी से अपनी पुरानी दुश्मनी भुला देती हूँ
तुम्हारे होने भर से
आँखों में वसंत उतर आता है
फूल और अधिक सुंदर लगते हैं
पक्षी थोड़ा और मीठा गाते हैं
सूर्य थोड़ा कम जलाता है
और चाँदनी और अधिक शीतल हो उठती है
तुम्हारे होने भर से सारी इच्छाएँ ख़त्म हो जाती हैं
बात हो या न हो उसकी महक साथ चलती है
और उम्मीदों की उम्मीद कम से कम रहती है
तुम्हारे होने भर से
मैं... बस मैं नहीं रहती
नहीं लाती प्रेम का नाम भी अपनी जिह्वा पर
लेकिन फिर भी गोधूलि की बेला में
मेरे आराध्य के समक्ष जगमगाती दीपशिखा-सा
चेहरे से झरता है प्रेम
तुम्हारे होने भर से
kah dene bhar se kaha ja sakta to
prem karti hoon
aisa kahkar man kah Dalti
lekin wo itna hi mushkil hai
jitna yoon chup rahna
bawjud iske ki garmiyon mein bhi mere honthon se
harsingar jharta hai
aur sardiyon mein bhi chehre par gulmohar ki lalima chhai hui hai
main tumhare hone bhar se santusht hoti hoon
bachchon sang bachchi ban baithti hoon
rah chalte logon ko dekhkar
muskurati hoon aur apne ird gird ke logon mein
sirf achhaiyan talashti hoon
hansi mein sare antarwirodh tal deti hoon
aur tumse milne ki koi sambhawna na hote hue bhi
kajal aur bindi se apni purani dushmani bhula deti hoon
tumhare hone bhar se
ankhon mein wasant utar aata hai
phool aur adhik sundar lagte hain
pakshi thoDa aur mitha gate hain
surya thoDa kam jalata hai
aur chandni aur adhik shital ho uthti hai
tumhare hone bhar se sari ichhayen khatm ho jati hain
baat ho ya na ho uski mahak sath chalti hai
aur ummidon ki ummid kam se kam rahti hai
tumhare hone bhar se
main bus main nahin rahti
nahin lati prem ka nam bhi apni jihwa par
lekin phir bhi godhuli ki bela mein
mere aradhy ke samaksh jagmagati dipashikha sa
chehre se jharta hai prem

स्रोत :
रचनाकार : पूनम सोनछात्रा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.