भोला मासूम पतंगा
मस्ती में उड़ता-उड़ता
जा बैठा दीवार के ऊपर,
कुछ छिपकलियाँ भी ताक में
जैसे घात में हो शिकारी
यह उड़ान है जीवन
वह कुदान मृत्यु
दया आती है भेड़ों पर
बकरी पर या निरीह कुछ और पशुओं पर
परंतु शेर मांसख़ोर है
खाता नहीं घास और पत्ते
पतंगों को छिपकली खाती
पशुओं को शेर बब्बर
प्रकृति के हैं नियम भाई
पलती है बड़ी मछली
कई छोटी मछलियों पर
तरस की भाषा भूल जाओ
निरर्थक सारे शिकवे
तुम्हारा यह रोना-धोना
जीने के लिए गिड़गिड़ाना
बदले हावभाव उनके
प्रकृति के नियम तोड़े
ऐसा कभी नहीं होगा
जीने के लिए
एक और रास्ता भी
पंचतंत्र का ख़रगोश
यदि शेर मार सकता है
तो जनतंत्र का मनुष्य
आततायी अत्याचारियों को
क्यों नहीं पछाड़ सकता?
bhola masum patanga
masti mein uDta uDta
ja baitha diwar ke upar,
kuch chhipkiliyan bhi tak mein
jaise ghat mein ho shikari
ye uDan hai jiwan
wo kudan mirtyu
daya aati hai bheDon par
bakri par ya nirih kuch aur pashuon par
parantu sher manskhor hai
khata nahin ghas aur patte
patangon ko chhipkali khati
pashuon ko sher babbar
prakrti ke hain niyam bhai
palti hai baDi machhli
kai chhoti machhaliyon par
taras ki bhasha bhool jao
nirarthak sare shikwe
tumhara ye rona dhona
jine ke liye giDagiDana
badle hawbhaw unke
prakrti ke niyam toDe
aisa kabhi nahin hoga
jine ke liye
ek aur rasta bhi
panchtantr ka khargosh
yadi sher mar sakta hai
to jantantr ka manushya
atatayi atyachariyon ko
kyon nahin pachhaD sakta?
bhola masum patanga
masti mein uDta uDta
ja baitha diwar ke upar,
kuch chhipkiliyan bhi tak mein
jaise ghat mein ho shikari
ye uDan hai jiwan
wo kudan mirtyu
daya aati hai bheDon par
bakri par ya nirih kuch aur pashuon par
parantu sher manskhor hai
khata nahin ghas aur patte
patangon ko chhipkali khati
pashuon ko sher babbar
prakrti ke hain niyam bhai
palti hai baDi machhli
kai chhoti machhaliyon par
taras ki bhasha bhool jao
nirarthak sare shikwe
tumhara ye rona dhona
jine ke liye giDagiDana
badle hawbhaw unke
prakrti ke niyam toDe
aisa kabhi nahin hoga
jine ke liye
ek aur rasta bhi
panchtantr ka khargosh
yadi sher mar sakta hai
to jantantr ka manushya
atatayi atyachariyon ko
kyon nahin pachhaD sakta?
स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक डोगरी कविता चयनिका (पृष्ठ 63)
संपादक : ओम गोस्वामी
रचनाकार : नरसिंह देव जम्वाल
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.