पाँव नहीं होते मक्खन के पेड़े
न संगमरमरी टुकड़े ही होते हैं पैर
वे पूजा के योग्य नहीं होते
पाँव धरती से नाता जोड़ते हैं
पाँव धरातल हैं आपका
पाँव जीवन की असमाप्त यात्रा हैं
बहुत पक्के साथी हैं
जो न गर्म-सर्द रास्तों से
और न ही शीत पगडंडियों से लौटते
ये पाँव ही हैं
जिनके आगे धरती तंग पड़ जाती
सागर सिमट जाते हैं
दूरियाँ मिट जाती हैं
जिनकी आहट के लिए
मन हो उठता बेचैन
कान आतुर हो जाते हैं, विकलता दिखाते
ये पाँव ही हैं
पक्के टिक जाएँ तो गौरव जागता है
बहक जाएँ तो इंसान कहीं का नहीं रहता
यदि कहीं फिसल जाएँ तो
बंदा पानी से पतला हो जाता है।
उपेक्षा होते भी
पाँवों की वफ़ा बेवफ़ा नहीं होती
पाँव न होते तो
कहाँ दौड़े लंबी छलाँगों पर
नाचने के सभी चाव मर जाते
पाँव न होते तो
लक्ष्य की पुकार मात्र पुकार रह जाती
दुनिया बनाने के स्वप्न
कभी हक़ीक़त न हो पाते
इसलिए पाँव
मक्खन के पेड़े नहीं होते
और न ही ये संगमरमरी टुकड़े होते हैं
पाँव पूजनीय भी नहीं होते
पाँव होते हैं प्यार करने के लिए
सुरक्षित रखने
और मस्तानी चाल चलने के लिए।
panw nahin hote makkhan ke peDe
na sangamaramri tukDe hi hote hain pair
we puja ke yogya nahin hote
panw dharti se nata joDte hain
panw dharatal hain aapka
panw jiwan ki asmapt yatra hain
bahut pakke sathi hain
jo na garm sard raston se
aur na hi sheet pagDanDiyon se lautte
ye panw hi hain
jinke aage dharti tang paD jati
sagar simat jate hain
duriyan mit jati hain
jinki aahat ke liye
man ho uthta bechain
kan aatur ho jate hain, wikalta dikhate
ye panw hi hai
pakke tik jayen to gauraw jagata hai
bahak jayen to insan kahin ka nahin rahta
yadi kahin phisal jayen to
banda pani se patla ho jata hai
upeksha hote bhi
panwon ki wafa bewafa nahin hoti
panw na hote to
kahan dauDe lambi chhalangon par
nachne ke sabhi chaw mar jate
panw na hote to
lakshya ki pukar matr pukar rah jati
duniya banane ke swapn
kabhi haqiqat na ho pate
isliye panw
makkhan ke peDe nahin hote
aur na hi ye sangamaramri tukDe hote hain
panw pujaniy bhi nahin hote
panw hote hain pyar karne ke liye
surakshait rakhne
aur mastani chaal chalne ke liye
panw nahin hote makkhan ke peDe
na sangamaramri tukDe hi hote hain pair
we puja ke yogya nahin hote
panw dharti se nata joDte hain
panw dharatal hain aapka
panw jiwan ki asmapt yatra hain
bahut pakke sathi hain
jo na garm sard raston se
aur na hi sheet pagDanDiyon se lautte
ye panw hi hain
jinke aage dharti tang paD jati
sagar simat jate hain
duriyan mit jati hain
jinki aahat ke liye
man ho uthta bechain
kan aatur ho jate hain, wikalta dikhate
ye panw hi hai
pakke tik jayen to gauraw jagata hai
bahak jayen to insan kahin ka nahin rahta
yadi kahin phisal jayen to
banda pani se patla ho jata hai
upeksha hote bhi
panwon ki wafa bewafa nahin hoti
panw na hote to
kahan dauDe lambi chhalangon par
nachne ke sabhi chaw mar jate
panw na hote to
lakshya ki pukar matr pukar rah jati
duniya banane ke swapn
kabhi haqiqat na ho pate
isliye panw
makkhan ke peDe nahin hote
aur na hi ye sangamaramri tukDe hote hain
panw pujaniy bhi nahin hote
panw hote hain pyar karne ke liye
surakshait rakhne
aur mastani chaal chalne ke liye
स्रोत :
पुस्तक : बीसवीं सदी का पंजाबी काव्य (पृष्ठ 528)
संपादक : सुतिंदर सिंह नूर
रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक फूलचंद मानव, योगेश्वर कौर
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.