वे उठाते हैं कुदाल
और एक लकीर खींच देते हैं
पृथ्वी की भाग्यरेखा सी ख़ूबसूरत एक लकीर
वे कल्पवृक्ष नहीं सोचते
नहीं तलाशते कामधेनु
दिन में
अपनी आँखों पर यक़ीन होता है उन्हें
रातों में टॉर्च पर
धूप सेंकते
मेड़ पर गमछा डाले उनके गले से
इस तरह फूटता है कोई बोल जैसे
नश्वर पौधों पर उछाल आया हो
लोहे की मूठ घुमाते
डीज़ल पंप का गीत उन्हें प्यारा लगता है
जब तुतलाकर पौधे पानी माँगते हैं
खेत में खड़ी फ़सलों के सूखने का समय है
बहुत अँधेरी है रात
अभी
अभी लपकेगी
आसमान की ओर रोशनी टॉर्च की
और समझ जाएँगे वे कि पानी
खेत में पहुँच गया है।
we uthate hain kudal
aur ek lakir kheench dete hain
prithwi ki bhagyrekha si khubsurat ek lakir
we kalpawrksh nahin sochte
nahin talashte kamadhenu
din mein
apni ankhon par yaqin hota hai unhen
raton mein torch par
dhoop senkte
meD par gamchha Dale unke gale se
is tarah phutta hai koi bol jaise
nashwar paudhon par uchhaal aaya ho
lohe ki mooth ghumate
diesel pamp ka geet unhen pyara lagta hai
jab tutlakar paudhe pani mangte hain
khet mein khaDi faslon ke sukhne ka samay hai
bahut andheri hai raat
abhi
abhi lapkegi
asman ki or roshni torch ki
aur samajh jayenge we ki pani
khet mein pahunch gaya hai
we uthate hain kudal
aur ek lakir kheench dete hain
prithwi ki bhagyrekha si khubsurat ek lakir
we kalpawrksh nahin sochte
nahin talashte kamadhenu
din mein
apni ankhon par yaqin hota hai unhen
raton mein torch par
dhoop senkte
meD par gamchha Dale unke gale se
is tarah phutta hai koi bol jaise
nashwar paudhon par uchhaal aaya ho
lohe ki mooth ghumate
diesel pamp ka geet unhen pyara lagta hai
jab tutlakar paudhe pani mangte hain
khet mein khaDi faslon ke sukhne ka samay hai
bahut andheri hai raat
abhi
abhi lapkegi
asman ki or roshni torch ki
aur samajh jayenge we ki pani
khet mein pahunch gaya hai
स्रोत :
पुस्तक : अकेला घर हुसेैन का (पृष्ठ 60)
रचनाकार : निलय उपाध्याय
प्रकाशन : आधार प्रकाशन
संस्करण : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.