नदी को प्यास लगी है
और मैं चुल्लू भर पानी लेकर उसकी वर्षों की प्यास
बुझा रहा हूँ जैसे सूरज चुल्लू भर रौशनी से
नदी की आँखों में तैरते अँधेरे को
दूर कर रहा है
बादलों ने नदियों का पानी सोख लिया है
और अब वे बरस रहे हैं चंद्रमा के बंजर खेतों में
मैं धरती का एक टुकड़ा फेंकता हूँ
चंद्रमा के पड़ोस में
पानी का स्वाद चखने के लिए
दूध ने गाय के थनों से पूरा पानी निकाल लिया है
मैं बछड़ों को पानी की कहानियाँ सुना रहा हूँ
दूध के चित्र दिखा रहा हूँ कि देखो इसे पीकर
तुम्हारे माता-पिता
कितने स्वस्थ दिखते थे
लोग क़तई परेशान नहीं हैं
कि घड़े के स्वाद से पहचान रहे हैं
कितना शीतल होता है जल
पानी को पानी दर्पण दिखा रहा है
अजीब नज़ारा है
पानी पहचान ही नहीं पा रहा है कि वह पानी है
जैसे नदी नहीं पहचान पा रही है
कि वह नदी है
nadi ko pyas lagi hai
aur main chullu bhar pani lekar uski warshon ki pyas
bujha raha hoon jaise suraj chullu bhar raushani se
nadi ki ankhon mein tairte andhere ko
door kar raha hai
badlon ne nadiyon ka pani sokh liya hai
aur ab we baras rahe hain chandrma ke banjar kheton mein
main dharti ka ek tukDa phenkta hoon
chandrma ke paDos mein
pani ka swad chakhne ke liye
doodh ne gay ke thanon se pura pani nikal liya hai
main bachhDon ko pani ki kahaniyan suna raha hoon
doodh ke chitr dikha raha hoon ki dekho ise pikar
tumhare mata pita
kitne swasth dikhte the
log qati pareshan nahin hain
ki ghaDe ke swad se pahchan rahe hain
kitna shital hota hai jal
pani ko pani darpan dikha raha hai
ajib nazara hai
pani pahchan hi nahin pa raha hai ki wo pani hai
jaise nadi nahin pahchan pa rahi hai
ki wo nadi hai
nadi ko pyas lagi hai
aur main chullu bhar pani lekar uski warshon ki pyas
bujha raha hoon jaise suraj chullu bhar raushani se
nadi ki ankhon mein tairte andhere ko
door kar raha hai
badlon ne nadiyon ka pani sokh liya hai
aur ab we baras rahe hain chandrma ke banjar kheton mein
main dharti ka ek tukDa phenkta hoon
chandrma ke paDos mein
pani ka swad chakhne ke liye
doodh ne gay ke thanon se pura pani nikal liya hai
main bachhDon ko pani ki kahaniyan suna raha hoon
doodh ke chitr dikha raha hoon ki dekho ise pikar
tumhare mata pita
kitne swasth dikhte the
log qati pareshan nahin hain
ki ghaDe ke swad se pahchan rahe hain
kitna shital hota hai jal
pani ko pani darpan dikha raha hai
ajib nazara hai
pani pahchan hi nahin pa raha hai ki wo pani hai
jaise nadi nahin pahchan pa rahi hai
ki wo nadi hai
स्रोत :
रचनाकार : महेश आलोक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.