चार दोस्त मिले थे चाय पर
पास में चुपचाप खड़ा था एक पेड़ नीम का
दुबला-पतला, शांत-गंभीर
क़द वही कोई आठ फ़ीट
एक दोस्त ने सबसे पूछा :
बताओ साथी तुम्हें ये पेड़ कैसा लगता है?
ये पेड़ है?
या पेड़ की बो दी गई टहनी?
किसी की लाठी है क्या?
बताओ साथी तुम्हें ये पेड़ कैसा लगता है?
पहले ने कहा, लाठी कहे तो याद आया
ध्यान से देखो नीचे से ऊपर की ओर
तो यह इस देश में गांधी के विचारों के
व्यावहारिक प्रयोग की क्रमगत यात्रा है
दूसरा बोला, अरे नहीं!
यह तो द्विवेदी जी का कुटज है
गाढ़े का साथी! पाषाण की छाती भेदता
अपने एकलपन में मस्त
दमदार पेड़ों को एकांत का सबक़ सिखाता
तीसरा बोला, यह चुनाव के दिनों का बोया हुआ एजेंडा तो नहीं?
मैं यहीं था उस रोज़
जब कंक्रीट से घेरकर विधायक जी
बोकर गए थे इसका बीज
चार बरस हुए विधायक जी
बीज का ब्योरा करने नहीं आए
उनकी अनुपस्थिति में यह कुपोषित रह गया
कहो कुपोषित पेड़ देखकर तुम्हें किसकी याद आती है?
चौथा ज़रा ग़ौर से देखा और बोला
अरे! ये तो मात साहब हैं
बहुत लंबे जीकर, और बहुत थोड़ा पढ़कर
ज्ञान की मुट्ठी भर पत्तियाँ ऐसे शीर्ष पर ले गए हैं
जहाँ कोई बच्चा-बुतरु पहुँच ही न पाए
'पंचतंत्र' का पाँचवा साथी चुप था
वह कुछ नहीं बोला
कहानी के अंत में
वही भावी सदी का सबसे बड़ा आलोचक बना
chaar dost mile the chaay par
paas mein chupchap khaDa tha ek peD neem ka
dubla patla, shaant gambhir
qad vahi koi aath feet
ek dost ne sabse puchha
batao sathi tumhein ye peD kaisa lagta hai?
ye peD hai?
ya peD ki bo di gai tahni?
kisi ki lathi hai kyaa?
batao sathi tumhein ye peD kaisa lagta hai?
pahle ne kaha, lathi kahe to yaad aaya
dhyaan se dekho niche se upar ki or
to ye is desh mein gandhi ke vicharon ke
vyavaharik prayog ki kramgat yatra hai
dusra bola, are nahin!
ye to dvivedi ji ka kutaj hai
gaDhe ka sathi! pashan ki chhati bhedata
apne ekalpan mein mast
damdar peDon ko ekaant ka sabak sikhata
tisra bola, ye chunav ke dinon ka boya hua agneda to nahin?
main yahin tha us roz
jab concrete se gherkar vidhayak ji
bokar gaye the iska beej
chaar baras hue vidhayak ji beej ka byora karne nahin aaye unki anupasthiti mein ye kuposhait rah gaya
kaho kuposhait peD dekhkar tumhein kiski yaad aati hai?
chautha zara ghaur se dekha aur bola
are! ye to maat sahab hain
bahut lambe jikar, aur bahut thoDa paDhkar
gyaan ki mutthibhar pattiyan aise sheersh par le gaye hain
jahan koi bachcha butaru pahunch hi na pae
panchtantr ka panchva sathi chup tha
wo kuch nahin bola
kahani ke ant men
vahi bhavi sadi ka sabse baDa alochak bana

स्रोत :
रचनाकार : संध्या चौरसिया
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.