घने कुहासे के बाद निकले सूर्य की तरह हो तुम
टँकी मिलती है उम्मीद की एक लकीर
जिसके चेहरे पर हमेशा
ओ मेरे विस्मय के पुंज!
गिलहरियाँ तुम्हारे कंधे पर बैठने से
कतराती नहीं हैं कभी
चिंताओं का उपनिवेश भी तो
कभी नहीं रहा तुम्हारा मन,
वह तो कल्पनाओं का उर्वर प्रदेश है कोई
केवल लफ़्फ़ाज़ी नहीं है जिसमें
कितना औषधीय रहा तुम्हारा संस्पर्श
उस जर्जर मकान के लिए
आज भी मुस्कुरा रहा है जो
मेड़ों के बीचोंबीच खड़ा हुआ
आश्वस्ति की कितनी मिठास घुली रहती है
गुड़धानी-सी तुम्हारी बातों में
मात्र एक पुष्प का कुम्हला जाना ही
ठंडी तासीर से भर देता है तुमको
इतने बर्बर समय में
कितने मायूस हो जाते
हत्या का कोई समाचार सुनते ही
तुम अब भी...
तिरस्कार की भाषा से अब भी
कितने अनजान हो तुम!
जानते हो न!
तुम मेरे हृदय का वह आलाप हो
जिसके लिए मुझे कभी ज़रूरत नहीं पड़ी
किसी अभ्यास की
देखना एक दिन
प्रेम के अनुयायियों के लिए
युगांतरकारी सिद्ध होगा
मेरी ओर से लिखा गया
तुम्हारा यह संस्मरण!
ghane kuhase ke baad nikle surya ki tarah ho tum
tanki milti hai ummid ki ek lakir
jiske chehre par hamesha
o mere wismay ke punj!
gilahriyan tumhare kandhe par baithne se
katrati nahin hain kabhi
chintaon ka upniwesh bhi to
kabhi nahin raha tumhara man,
wo to kalpnaon ka urwar pardesh hai koi
kewal laffazi nahin hai jismen
kitna aushadhiy raha tumhara sansparsh
us jarjar makan ke liye
aj bhi muskura raha hai jo
meDon ke bichombich khaDa hua
ashwasti ki kitni mithas ghuli rahti hai
guDadhani si tumhari baton mein
matr ek pushp ka kumhla jana hi
thanDi tasir se bhar deta hai tumko
itne barbar samay mein
kitne mayus ho jate
hattya ka koi samachar sunte hi
tum ab bhi
tiraskar ki bhasha se ab bhi
kitne anjan ho tum!
jante ho n!
tum mere hirdai ka wo alap ho
jiske liye mujhe kabhi zarurat nahin paDi
kisi abhyas ki
dekhana ek din
prem ke anuyayiyon ke liye
yugantarkari siddh hoga
meri or se likha gaya
tumhara ye sansmran!
ghane kuhase ke baad nikle surya ki tarah ho tum
tanki milti hai ummid ki ek lakir
jiske chehre par hamesha
o mere wismay ke punj!
gilahriyan tumhare kandhe par baithne se
katrati nahin hain kabhi
chintaon ka upniwesh bhi to
kabhi nahin raha tumhara man,
wo to kalpnaon ka urwar pardesh hai koi
kewal laffazi nahin hai jismen
kitna aushadhiy raha tumhara sansparsh
us jarjar makan ke liye
aj bhi muskura raha hai jo
meDon ke bichombich khaDa hua
ashwasti ki kitni mithas ghuli rahti hai
guDadhani si tumhari baton mein
matr ek pushp ka kumhla jana hi
thanDi tasir se bhar deta hai tumko
itne barbar samay mein
kitne mayus ho jate
hattya ka koi samachar sunte hi
tum ab bhi
tiraskar ki bhasha se ab bhi
kitne anjan ho tum!
jante ho n!
tum mere hirdai ka wo alap ho
jiske liye mujhe kabhi zarurat nahin paDi
kisi abhyas ki
dekhana ek din
prem ke anuyayiyon ke liye
yugantarkari siddh hoga
meri or se likha gaya
tumhara ye sansmran!
स्रोत :
रचनाकार : मीनाक्षी मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.