न्याय और अन्याय के बारे में
तरह-तरह की मान्यताएँ थीं
कुछ लोगों का मानना था
कि यह पृथ्वी तभी तक सुरक्षित है
जब तक न्याय ज़िंदा है
हालाँकि न्याय को देख पाना
इतना आसान नहीं
और उसे पाना तो
माशूक़ा को पाने के बराबर था
पहाड़ तोड़कर नदी लाने की तरह
कुछ लोग तो पूरा जीवन
गुज़ार देते थे न्याय की तलाश में
एक आदमी न्याय पाने के चक्कर में
अपनी देह भी गँवा बैठा
जब देह थी उसके पास न्याय नहीं था
न्याय था तो देह नहीं थी
वह समझ नहीं पा रहा था
कि उस न्याय का क्या करे
एक समय था जब ईश्वर
न्याय को लेकर बहुत चिंतित रहता था
कई बार वह ख़ुद चला आता था पृथ्वी पर
न्याय की रक्षा के लिए
हमारे पास न्यायी राजाओं के कई वृत्तांत हैं
जब मृत ढोरों के चमड़े छीलता एक आदमी
मुग्ध हो उठता संहिताओं के नाद पर
जब शब्दों की सीढ़ियों पर थरथराते पैरों से
चढ़ने लगता वह
सक्रिय होते न्यायी राजा
वे एक बाण से करते उस आदमी का काम तमाम
उसका रक्त ज़रूरी होता था
न्याय को जीवित रखने के लिए
न्याय के बारे में एक मान्यता यह थी
कि वह बहुत धीरे चलता है
कुछ लोग कहते
वह जानबूझकर धीरे चलता है
ताकि बना रहे उन लोगों का रोज़गार
जो करते हैं न्याय दिलाने का कारोबार
न्याय के बारे में जब भी बात होती
अन्याय का नाम ज़रूर आता
इधर एक मान्यता ज़ोर पकड़ रही है
कि न्याय अन्याय के साथ रहता है
असल में न्याय वेताल हैं
जो बार-बार अन्याय की डाल पर
जा बैठता है
उसे अन्याय की डाल से उतारकर ले आना ही
सबसे बड़ी चुनौती है
विचारक इस पर विचारमग्न हैं
न्याय और अन्याय के बीच
गहरे रिश्ते को देखकर कुछ लोग
उन दोनों को जुड़वाँ भाई मानने लगे हैं
अन्याय जब भी घूमने निकलता
वह न्याय के कपड़े पहनता
वह न्याय की तरह विनम्र बनने की कोशिश करता
और अपना नाम न्याय बताता
कई बार तो वह न्याय के पीछे-पीछे
दबे पाँव चलता
और उसकी पीठ के पीछे से चलाता
एक ख़तरनाक हथियार
जो लोग इस बात को
समझने लगे थे वे न्याय को कोसते थे
उनका विश्वास उठ रहा था न्याय से
वैसे एक विचार यह भी है
कि न्याय और अन्याय
दरअसल दो हैं ही नहीं
वे एक ही आदमी के दो रूप हैं
फ़िल्म 'गोलमाल' में अमोल पालेकर की तरह
लेकिन इस बात पर सब सहमत थे
कि अन्याय की भी एक हद होती है
वह पार नहीं कर सकता उस हद को
एक दिन जब एक आततायी की देह में
कीड़े बजबजाने लगते थे
एक भूखा आदमी जीवन में पहली बार
संतुष्ट होता था
उसकी साँस में गर्म-गर्म रोटियों की भाप की तरह
प्रवेश करता था न्याय
nyay aur annyaye ke bare mein
tarah tarah ki manytayen theen
kuch logon ka manna tha
ki ye prithwi tabhi tak surakshait hai
jab tak nyay zinda hai
halanki nyay ko dekh pana
itna asan nahin
aur use pana to
mashuqa ko pane ke barabar tha
pahaD toDkar nadi lane ki tarah
kuch log to pura jiwan
guzar dete the nyay ki talash mein
ek adami nyay pane ke chakkar mein
apni deh bhi ganwa baitha
jab deh thi uske pas nyay nahin tha
nyay tha to deh nahin thi
wo samajh nahin pa raha tha
ki us nyay ka kya kare
ek samay tha jab ishwar
nyay ko lekar bahut chintit rahta tha
kai bar wo khu chala aata tha prithwi par
nyay ki rakhsha ke liye
hamare pas nyayi rajaon ke kai writtant hain
jab mrit Dhoron ke chamDe chhilta ek adami
mugdh ho uthta sanhitaon ke nad par
jab shabdon ki siDhiyon par thartharate pairon se
chaDhne lagta wo
sakriy hote nyayi raja
we ek ban se karte us adami ka kaam tamam
uska rakt zaruri hota tha
nyay ko jiwit rakhne ke liye
nyay ke bare mein ek manyata ye thi
ki wo bahut dhire chalta hai
kuch log kahte
wo janbujhkar dhire chalta hai
taki bana rahe un logon ka rozgar
jo karte hain nyay dilane ka karobar
nyay ke bare mein jab bhi baat hoti
annyaye ka nam zarur aata
idhar ek manyata zor pakaD rahi hai
ki nyay annyaye ke sath rahta hai
asal mein nyay wetal hain
jo bar bar annyaye ki Dal par
ja baithta hai
use annyaye ki Dal se utarkar le aana hi
sabse baDi chunauti hai
wicharak is par wicharamagn hain
nyay aur annyaye ke beech
gahre rishte ko dekhkar kuch log
un donon ko juDwan bhai manne lage hain
annyaye jab bhi ghumne nikalta
wo nyay ke kapDe pahanta
wo nyay ki tarah winamr banne ki koshish karta
aur apna nam nyay batata
kai bar to wo nyay ke pichhe pichhe
dabe panw chalta
aur uski peeth ke pichhe se chalata
ek khatarnak hathiyar
jo log is baat ko
samajhne lage the we nyay ko koste the
unka wishwas uth raha tha nyay se
waise ek wichar ye bhi hai
ki nyay aur annyaye
darasal do hain hi nahin
we ek hi adami ke do roop hain
film golamal mein amol palekar ki tarah
lekin is baat par sab sahmat the
ki annyaye ki bhi ek had hoti hai
wo par nahin kar sakta us had ko
ek din jab ek atatayi ki deh mein
kiDe bajabjane lagte the
ek bhukha adami jiwan mein pahli bar
santusht hota tha
uski sans mein garm garm rotiyon ki bhap ki tarah
prawesh karta tha nyay
nyay aur annyaye ke bare mein
tarah tarah ki manytayen theen
kuch logon ka manna tha
ki ye prithwi tabhi tak surakshait hai
jab tak nyay zinda hai
halanki nyay ko dekh pana
itna asan nahin
aur use pana to
mashuqa ko pane ke barabar tha
pahaD toDkar nadi lane ki tarah
kuch log to pura jiwan
guzar dete the nyay ki talash mein
ek adami nyay pane ke chakkar mein
apni deh bhi ganwa baitha
jab deh thi uske pas nyay nahin tha
nyay tha to deh nahin thi
wo samajh nahin pa raha tha
ki us nyay ka kya kare
ek samay tha jab ishwar
nyay ko lekar bahut chintit rahta tha
kai bar wo khu chala aata tha prithwi par
nyay ki rakhsha ke liye
hamare pas nyayi rajaon ke kai writtant hain
jab mrit Dhoron ke chamDe chhilta ek adami
mugdh ho uthta sanhitaon ke nad par
jab shabdon ki siDhiyon par thartharate pairon se
chaDhne lagta wo
sakriy hote nyayi raja
we ek ban se karte us adami ka kaam tamam
uska rakt zaruri hota tha
nyay ko jiwit rakhne ke liye
nyay ke bare mein ek manyata ye thi
ki wo bahut dhire chalta hai
kuch log kahte
wo janbujhkar dhire chalta hai
taki bana rahe un logon ka rozgar
jo karte hain nyay dilane ka karobar
nyay ke bare mein jab bhi baat hoti
annyaye ka nam zarur aata
idhar ek manyata zor pakaD rahi hai
ki nyay annyaye ke sath rahta hai
asal mein nyay wetal hain
jo bar bar annyaye ki Dal par
ja baithta hai
use annyaye ki Dal se utarkar le aana hi
sabse baDi chunauti hai
wicharak is par wicharamagn hain
nyay aur annyaye ke beech
gahre rishte ko dekhkar kuch log
un donon ko juDwan bhai manne lage hain
annyaye jab bhi ghumne nikalta
wo nyay ke kapDe pahanta
wo nyay ki tarah winamr banne ki koshish karta
aur apna nam nyay batata
kai bar to wo nyay ke pichhe pichhe
dabe panw chalta
aur uski peeth ke pichhe se chalata
ek khatarnak hathiyar
jo log is baat ko
samajhne lage the we nyay ko koste the
unka wishwas uth raha tha nyay se
waise ek wichar ye bhi hai
ki nyay aur annyaye
darasal do hain hi nahin
we ek hi adami ke do roop hain
film golamal mein amol palekar ki tarah
lekin is baat par sab sahmat the
ki annyaye ki bhi ek had hoti hai
wo par nahin kar sakta us had ko
ek din jab ek atatayi ki deh mein
kiDe bajabjane lagte the
ek bhukha adami jiwan mein pahli bar
santusht hota tha
uski sans mein garm garm rotiyon ki bhap ki tarah
prawesh karta tha nyay
स्रोत :
रचनाकार : संजय कुंदन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.