क्या मेरे बाद,
वे ऐसे ही लहराएँगे,
जैसे आज?
मेरी ज़मीन पर,
बेतकल्लुफ़,
मुझसे पूछे बिना।
मेरा मौन
वे पत्ते खड़खड़ाते,
मैं धँसा ज़मीन में—
वे बहती हवा में आँख मूँदे,
मेरी ज़िद—वे ऊपर तक लोच खाते,
उघड़ती हड्डियाँ—वे धीरे से छूते आकाश,
मेरी छाँव—उनकी धूप,
मेरा घर—उनकी सारी हवा
बँटा है—
समय,
समय का स्पर्श,
वे पल भी,
जो नहीं बींधते,
मुझे, उनसे।
और—
मेरी गुमनामी में,
वे अनचाहे,
अगर न हो,
तो अतीत में,
छूट जाए एक गड्ढा।
वे नहीं चाहते मुझे,
पर,
मैंने ही शेयर मान ली,
अपनी ज़मीन और—
एक टुकड़ा उनका।
मेरा स्वार्थ,
मेरी चाहत।
वे नहीं आए,
मैंने उन्हें घेर लिया,
अपने ही घर में,
अपनी ज़मीन पर।
तभी तो, सालता है प्रश्न—
क्या मेरे बाद,
वे ऐसे ही लहराएँगे,
जैसे आज?
kya mere baad,
we aise hi lahrayenge,
jaise aaj?
meri zamin par,
betakalluf,
mujhse puchhe bina
mera maun
we patte khaDakhDate,
main dhansa zamin mein—
we bahti hawa mein ankh munde,
meri zid—we upar tak loch khate,
ughaDti haDDiyan—we dhire se chhute akash,
meri chhanw—unki dhoop,
mera ghar—unki sari hawa
banta hai—
samay,
samay ka sparsh,
we pal bhi,
jo nahin bindhte,
mujhe, unse
aur—
meri gumnami mein,
we anchahe,
agar na ho,
to atit mein,
chhoot jaye ek gaDDha
we nahin chahte mujhe,
par,
mainne hi sheyar man li,
apni zamin aur—
ek tukDa unka
mera swarth,
meri chahat
we nahin aaye,
mainne unhen gher liya,
apne hi ghar mein,
apni zamin par
tabhi to, salta hai parashn—
kya mere baad,
we aise hi lahrayenge,
jaise aaj?
kya mere baad,
we aise hi lahrayenge,
jaise aaj?
meri zamin par,
betakalluf,
mujhse puchhe bina
mera maun
we patte khaDakhDate,
main dhansa zamin mein—
we bahti hawa mein ankh munde,
meri zid—we upar tak loch khate,
ughaDti haDDiyan—we dhire se chhute akash,
meri chhanw—unki dhoop,
mera ghar—unki sari hawa
banta hai—
samay,
samay ka sparsh,
we pal bhi,
jo nahin bindhte,
mujhe, unse
aur—
meri gumnami mein,
we anchahe,
agar na ho,
to atit mein,
chhoot jaye ek gaDDha
we nahin chahte mujhe,
par,
mainne hi sheyar man li,
apni zamin aur—
ek tukDa unka
mera swarth,
meri chahat
we nahin aaye,
mainne unhen gher liya,
apne hi ghar mein,
apni zamin par
tabhi to, salta hai parashn—
kya mere baad,
we aise hi lahrayenge,
jaise aaj?
स्रोत :
पुस्तक : साक्षात्कार 274 (पृष्ठ 73)
संपादक : भगवत रावत
रचनाकार : तरुण भटनागर
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.