किसी चीज़ को
ज़रा ऊपर से छोड़ दो
फिर देखो उनका ढंग!
एक पत्ती
हवा को खेते
हौले-हौले नीचे उतरती है
और एक पत्थर
तपाक से नीचे
सब आते हैं धरती की ओर
बड़ा सरल है गुरुत्वाकर्षण का सिद्धांत
कभी-कभी नीचे आते समय
रस्सी कसने लगती है
नसें दबने लगती हैं
चीख़ हलक में रह जाती है
थोड़ा और नीचे
और साँस रुक जाती है!
पड़ जाता है गले पे फंदे का गाढ़ा निशान
तब कहीं दो दिन बाद उसे नीचे उतारा जाता है
कुछ चीज़ें ऐसे भी उतरती हैं नीचे
जब उन्हें छोड़ दिया जाता है
संस्थाओं में दाख़िला मिलने के बाद
सबके लिए एक-सा कहाँ काम करता है
कोई भी सिद्धांत
kisi cheez ko
zara uupar se chhoD do
phir dekho unka Dhang!
ek patti
hava ko khete
haule haule niche utarti hai
aur ek patthar
tapak se niche
sab aate hain dharti ki or
baDa saral hai gurutvakarshan ka siddhant
kabhi kabhi niche aate samay
rassi kasne lagti hai
nasen dabne lagti hain
cheekh halak mein rah jati hai
thoDa aur niche
aur saans ruk jati hai!
paD jata hai gale pe phande ka gaDha nishan
tab kahin do din baad use niche utara jata hai
kuch chizen aise bhi utarti hain niche
jab unhen chhoD diya jata hai
sansthaon mein dakhila milne ke baad
sabke liye ek sa kahan kaam karta hai
koi bhi siddhant
kisi cheez ko
zara uupar se chhoD do
phir dekho unka Dhang!
ek patti
hava ko khete
haule haule niche utarti hai
aur ek patthar
tapak se niche
sab aate hain dharti ki or
baDa saral hai gurutvakarshan ka siddhant
kabhi kabhi niche aate samay
rassi kasne lagti hai
nasen dabne lagti hain
cheekh halak mein rah jati hai
thoDa aur niche
aur saans ruk jati hai!
paD jata hai gale pe phande ka gaDha nishan
tab kahin do din baad use niche utara jata hai
kuch chizen aise bhi utarti hain niche
jab unhen chhoD diya jata hai
sansthaon mein dakhila milne ke baad
sabke liye ek sa kahan kaam karta hai
koi bhi siddhant
स्रोत :
रचनाकार : गौतम कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.