नींद में कटते हैं हाथ
नींद में थामता हूँ बार-बार वह
जो नींद के बाहर फिसलकर
गिर जाता है हर बार
नींद में किया प्रेम
आख़िर जागने पर
आस्वादन के कितने रंगों से भर सकेगा
आकाश को
नींद में मृत्यु
कितना पाट पाएगी
रोज़मर्रा की निर्विकार निस्संगता
नींद में स्मृति
कितनी दूर झाँकेगी अंधकार में
पुरानी अनावश्यकताओं को टोहती
नींद से बाहर एक दूसरी नींद में ढुलकते हम
खोजते हैं पिताओं के, दोस्तों के, प्रेमिकाओं के
पसीने से अटे हाथ
नींद से बाहर
नींद में गिरते हम होते हैं
इतने भरे जितनी वर्षा की बूँदें
और इतने ख़ाली
जितना पीछे छूट गए बादलों का अनुनाद।
neend mein katte hain hath
neend mein thamta hoon bar bar wo
jo neend ke bahar phisalkar
gir jata hai har bar
neend mein kiya prem
akhir jagne par
aswadan ke kitne rangon se bhar sakega
akash ko
neend mein mirtyu
kitna pat payegi
rozmarra ki nirwikar nissangta
neend mein smriti
kitni door jhankegi andhkar mein
purani anawashyaktaon ko tohti
neend se bahar ek dusri neend mein Dhulakte hum
khojte hain pitaon ke, doston ke, premikaon ke
pasine se ate hath
neend se bahar
neend mein girte hum hote hain
itne bhare jitni warsha ki bunden
aur itne khali
jitna pichhe chhoot gaye badlon ka anunad
neend mein katte hain hath
neend mein thamta hoon bar bar wo
jo neend ke bahar phisalkar
gir jata hai har bar
neend mein kiya prem
akhir jagne par
aswadan ke kitne rangon se bhar sakega
akash ko
neend mein mirtyu
kitna pat payegi
rozmarra ki nirwikar nissangta
neend mein smriti
kitni door jhankegi andhkar mein
purani anawashyaktaon ko tohti
neend se bahar ek dusri neend mein Dhulakte hum
khojte hain pitaon ke, doston ke, premikaon ke
pasine se ate hath
neend se bahar
neend mein girte hum hote hain
itne bhare jitni warsha ki bunden
aur itne khali
jitna pichhe chhoot gaye badlon ka anunad
स्रोत :
रचनाकार : वसु गंधर्व
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.