अनागत दिन की गिनती करके पृथिवी के विशाल वक्ष में
आगंतुक नवजातक का
अतीत खो जाता है, हमसे रचित वर्तमान
भविष्य की चाभी से काल का जग है
पृथिवी की मेनका के स्नेह ने मुझे
दिखाई क्षीण आभा आशा के सूरज की,
तुमको मिलेगा पुत्तलिका का स्नेह-आलिंगन
उजागरी ज्योतिहीन निशा की छाती में
जीवन इंद्रधनुष निराश बादल से भरा है
तुम्हारे पथ में वहाँ
अपरिचित कीचक का दल है
मेरे पकिल पथ में ही
मुझे मिली शिरा-शिरा में मेरी उन्मादना
रास्ते-रास्ते मे तुमको मिलेगा कंस का आह्वान
भाराक्रांत ययाति की जरा।
इतिहास के नए अतिथि,
तुम सुनते हो नए दिन की कहानी
युग को स्तंभित करने वाले आज का
कोलंबस खो जाता है गुफा के बीच में
ईथर के उस पार से पृथ्वी की सीमा-रेखा है
मानव-स्वप्न की साधना-स्थल मंगल ग्रह है
रत्नाकर वाल्मीकि बन जाता है
कालिदास की अज्ञता मिट जाती है—
जीवन की मोहिनी में ज्ञान का कल्लोल है।
हमारे लिए यह नई रोशनी है।
हमारे जीवन की नई ऊषा में
व्यास और वाल्मीकि की कलम में जंग लग जाती है।
हम तो मर मिट गए हैं मर मिटे युग में।
उठो प्यारे! उठो हे जारज संतान!
हमारे जीवन की क्षणिक धूप रोशनाई में
देख लो सामने का
अँधेरे का आख़िरी गति-पथ
अंतहीन वासुकी के फण के नीचे
प्यारे, भूल मत—
anagatdin ki ginti karke prithivi ke vishal vaksh mein
agantuk navjatak ka
atit kho jata hai, hamse rachit vartaman
bhavishya ki chabhi se kaal ka jag hai.
prithivi ki menka ke sneh ne mujhe
dikhai kshain aabha aasha ke suraj ki,
tumko milega puttalika ka sneh alingan
ujagri jyotihin nisha ki chhati mein
jivan indradhnush nirash badal se bhara hai
tumhare path mae vahan
aprichit kichak ka dal hai
mere pakil path mein hi
mujhe mili shira shira mein meri unmadna
raste raste mae tumko milega kas ka ahvan
bharakrant yayati ki jara.
itihas ke naye atithi,
tum sunte ho naye din ki kahani
yug ko stambhit karne vale aaj ka
yug ko stambhit karne vale aaj ka
columbus kho jata hai gupha ke beech mein
ithar ke us paar se prithvi ki sima rekha hai
manav svapn ki sadhana sthal mangal grah hai
ratnakar valmiki ban jata hai
kalidas ki agyta mit jati hai—
jivan ki mohiani mae gyaan ka kallol hai.
hamare liye ye nai roshni hai.
hamare jivan ki nai usha mein
vyaas aur valmiki ki qalam mein jag lag jati hai.
hum to mar mit gaye hai mar mite yug mein.
utho pyare! utho he jaraj santan!
hamare jivan ki kshanaik dhoop roshanai mein
dekh lo samne ka
andhere ka akhiri gati path
anthin vasuki ke phan ke niche
pyare, bhool mat—
hamari jivan bhar ki sadhana.
anagatdin ki ginti karke prithivi ke vishal vaksh mein
agantuk navjatak ka
atit kho jata hai, hamse rachit vartaman
bhavishya ki chabhi se kaal ka jag hai.
prithivi ki menka ke sneh ne mujhe
dikhai kshain aabha aasha ke suraj ki,
tumko milega puttalika ka sneh alingan
ujagri jyotihin nisha ki chhati mein
jivan indradhnush nirash badal se bhara hai
tumhare path mae vahan
aprichit kichak ka dal hai
mere pakil path mein hi
mujhe mili shira shira mein meri unmadna
raste raste mae tumko milega kas ka ahvan
bharakrant yayati ki jara.
itihas ke naye atithi,
tum sunte ho naye din ki kahani
yug ko stambhit karne vale aaj ka
yug ko stambhit karne vale aaj ka
columbus kho jata hai gupha ke beech mein
ithar ke us paar se prithvi ki sima rekha hai
manav svapn ki sadhana sthal mangal grah hai
ratnakar valmiki ban jata hai
kalidas ki agyta mit jati hai—
jivan ki mohiani mae gyaan ka kallol hai.
hamare liye ye nai roshni hai.
hamare jivan ki nai usha mein
vyaas aur valmiki ki qalam mein jag lag jati hai.
hum to mar mit gaye hai mar mite yug mein.
utho pyare! utho he jaraj santan!
hamare jivan ki kshanaik dhoop roshanai mein
dekh lo samne ka
andhere ka akhiri gati path
anthin vasuki ke phan ke niche
pyare, bhool mat—
hamari jivan bhar ki sadhana.
स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 18)
रचनाकार : बीरेन बरकटकी
प्रकाशन : साहित्य अकादमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.