अभी-अभी खोली है नई किताब
और भक्क से आई सुवासित गंध ने
किया है मेरा स्वागत
नई किताब की गंध में
मैं अक्षरों की सुगंध
महसूस कर पा रहा हूँ कहीं भीतर
उन विचारों की सुगंध भी
जो इन अक्षरों के भीतर कहीं दबे पड़े हैं
नई किताब की गंध में
उम्र के तपे दिनों
स्याह रातों की सुगंध है
और कुछ अधूरे सपनों का भी
नई किताब की गंध में
उस आदमी के पसीने की सुगंध है
जिनके हाथों ने टाँके हैं अक्षर
नई किताब की गंध में
शामिल है एक कटे हुए पेड़ की घायल इच्छाएँ
किसी चिड़ियाँ का उजड़ा हुआ आशियाना
और किसी बच्चे के
स्मृतियों में गुम गए बचपन की गंध
अभी-अभी खोली है नई किताब
मैं विचारों के साथ-साथ
एक पेड़, एक चिड़ियाँ
कुछ अधूरे सपनों, छूटी स्मृतियों
और पन्नों पर अक्षर टाँकते
दो हाथों की कहानी पढ़ रहा हूँ।
abhi abhi kholi hai nai kitab
aur bhakk se i suwasit gandh ne
kiya hai mera swagat
nai kitab ki gandh mein
main akshron ki sugandh
mahsus kar pa raha hoon kahin bhitar
un wicharon ki sugandh bhi
jo in akshron ke bhitar kahin dabe paDe hain
nai kitab ki gandh mein
umr ke tape dinon
syah raton ki sugandh hai
aur kuch adhure sapnon ka bhi
nai kitab ki gandh mein
us adami ke pasine ki sugandh hai
jinke hathon ne tanke hain akshar
nai kitab ki gandh mein
shamil hai ek kate hue peD ki ghayal ichhayen
kisi chiDiyan ka ujDa hua ashiyana
aur kisi bachche ke
smritiyon mein gum gaye bachpan ki gandh
abhi abhi kholi hai nai kitab
main wicharon ke sath sath
ek peD, ek chiDiyan
kuch adhure sapnon, chhuti smritiyon
aur pannon par akshar tankte
do hathon ki kahani paDh raha hoon
abhi abhi kholi hai nai kitab
aur bhakk se i suwasit gandh ne
kiya hai mera swagat
nai kitab ki gandh mein
main akshron ki sugandh
mahsus kar pa raha hoon kahin bhitar
un wicharon ki sugandh bhi
jo in akshron ke bhitar kahin dabe paDe hain
nai kitab ki gandh mein
umr ke tape dinon
syah raton ki sugandh hai
aur kuch adhure sapnon ka bhi
nai kitab ki gandh mein
us adami ke pasine ki sugandh hai
jinke hathon ne tanke hain akshar
nai kitab ki gandh mein
shamil hai ek kate hue peD ki ghayal ichhayen
kisi chiDiyan ka ujDa hua ashiyana
aur kisi bachche ke
smritiyon mein gum gaye bachpan ki gandh
abhi abhi kholi hai nai kitab
main wicharon ke sath sath
ek peD, ek chiDiyan
kuch adhure sapnon, chhuti smritiyon
aur pannon par akshar tankte
do hathon ki kahani paDh raha hoon
स्रोत :
रचनाकार : आनंद गुप्ता
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.