अपने गाँव के आकाश की मरी चिड़िया
पॉकेट पर टाँगे जब वह शहर आया
तो लोगों ने फ़रमाया—वाह क्या लोक है!
उसके वजूद में भटकती चिड़िया की आत्मा की
आवाज़ जब फैली बाहर
तो लोगों ने बजाई ताली देखिए न यह कितना सांस्कृतिक है
जब मृत चिड़िया की अधूरी आकांक्षाएँ उस आदमी की
आँखों में फैलने लगीं तो उसकी आँखें हुईं नीली
लोगों ने दाद दी—इसकी जड़ें बहुत गहरी हैं
और यह कर रहा है जड़ों की खोज
मरने के पहले जो चिड़िया ने ली थी कराह
वह कराह जब उसके हाव-भाव और अभिव्यक्तियों में दिखने लगी
तो लोगों ने कहा दीजिए ध्यान! इसकी अभिव्यक्ति अत्यंत लयात्मक है।
मारने वाले व्याध से बदले की इच्छा जब मृत
चिड़िया के शरीर में पैदा करने लगी कुछ साँसें
और अनेक कंपन
तो वे ही लोग कहने लगे
अब बहुत हो गया लोक-लोक
अब हमें कुछ और बातें करनी चाहिए।
apne ganw ke akash ki mari chiDiya
pocket par tange jab wo shahr aaya
to logon ne farmaya—wah kya lok hai!
uske wajud mein bhatakti chiDiya ki aatma ki
awaz jab phaili bahar
to logon ne bajai tali dekhiye na ye kitna sanskritik hai
jab mrit chiDiya ki adhuri akankshayen us adami ki
ankhon mein phailne lagin to uski ankhen huin nili
logon ne dad di—iski jaDen bahut gahri hain
aur ye kar raha hai jaDon ki khoj
marne ke pahle jo chiDiya ne li thi karah
wo karah jab uske haw bhaw aur abhiwyaktiyon mein dikhne lagi
to logon ne kaha dijiye dhyan! iski abhiwyakti atyant layatmak hai
marne wale wyaadh se badle ki ichha jab mrit
chiDiya ke sharir mein paida karne lagi kuch sansen
aur anek kampan
to we hi log kahne lage
ab bahut ho gaya lok lok
ab hamein kuch aur baten karni chahiye

स्रोत :
पुस्तक : खुदाई में हिंसा (पृष्ठ 96)
रचनाकार : बद्री नारायण
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.