हथियारों से लैस वे
नहीं आए उसे बचाने
व्यस्त रहे चुराने में
उसके गले से अद्भुत हार,
उसके कानों से बालियाँ,
उसकी छाती से गोदने।
हथियारों से लैस वे
नहीं आए उन्हें बचाने
व्यस्त रहे चुराने में
अधखुली आँखों से उनके
सपनों की कलाकृति,
घर की दीवारों से
उनकी चित्रकारी,
बर्तनों से नक़्क़ाशी,
उनके हाथों से हुनर,
जंगल से पेड़ और
पेड़ों से उनकी जान।
कर दिया है घोषित उन्होंने
उनके वर्तमान को अतीत।
लिख दिया है यूँ तो
हर जनजातीय संग्रहालय में
“कोई किसी चीज़ को हाथ न लगाए”
पर ठीक उसके बाहर
ले रखी है पूरी आज़ादी
ज़िंदा जीवन को उनके
ध्वस्त करने और उजाड़ने की।
mar rahi hai
koi aadim bhasha
hathiyaron se lais we
nahin aaye use bachane
wyast rahe churane mein
uske gale se adbhut haar,
uske kanon se baliyan,
uski chhati se godne
hathiyaron se lais we
nahin aaye unhen bachane
wyast rahe churane mein
adhakhuli ankhon se unke
sapnon ki kalakriti,
ghar ki diwaron se
unki chitrkari,
bartnon se naqqashi,
unke hathon se hunar,
jangal se peD aur
peDon se unki jaan
kar diya hai ghoshait unhonne
unke wartaman ko atit
likh diya hai yoon to
har janjatiy sangrhalay mein
“koi kisi cheez ko hath na lagaye”
par theek uske bahar
le rakhi hai puri azadi
zinda jiwan ko unke
dhwast karne aur ujaDne ki
mar rahi hai
koi aadim bhasha
hathiyaron se lais we
nahin aaye use bachane
wyast rahe churane mein
uske gale se adbhut haar,
uske kanon se baliyan,
uski chhati se godne
hathiyaron se lais we
nahin aaye unhen bachane
wyast rahe churane mein
adhakhuli ankhon se unke
sapnon ki kalakriti,
ghar ki diwaron se
unki chitrkari,
bartnon se naqqashi,
unke hathon se hunar,
jangal se peD aur
peDon se unki jaan
kar diya hai ghoshait unhonne
unke wartaman ko atit
likh diya hai yoon to
har janjatiy sangrhalay mein
“koi kisi cheez ko hath na lagaye”
par theek uske bahar
le rakhi hai puri azadi
zinda jiwan ko unke
dhwast karne aur ujaDne ki
स्रोत :
रचनाकार : जसिंता केरकेट्टा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.