राम के नाम पर फेंके गए पत्थर से
रहीम के बंदे घायल हुए जाते हैं
मेरे घर आग लगाने की कोशिश में
दोस्त, देख तेरे भी हाथ जले जाते हैं
नया चलन है कि नफ़रत के ज़हर से
दिलों के घाव पर मलहम लगाए जाते हैं
गौतम गांधी के देश में अफ़सोस कि फिर
आदमी के ख़ून से इतिहास लिखे जाते हैं
बाँटा था पहले भी इस धरती को तुमने
अब तो सँभलो कि टुकड़े हुए जाते हैं
वोटों की हवस में देश के रहनुमा
इंसानी लाशों के सौदागर बने जाते हैं
मज़हब और सियासत में फ़र्क़ न कर सके
उस क़ौम के चिराग़े-अज़मत बुझे जाते हैं।
ram ke nam par phenke gaye patthar se
rahim ke bande ghayal hue jate hain
mere ghar aag lagane ki koshish mein
dost, dekh tere bhi hath jale jate hain
naya chalan hai ki nafar ke zahr se
dilon ke ghaw par malham lagaye jate hain
gautam gandhi ke desh mein afsos ki phir
adami ke khoon se itihas likhe jate hain
banta tha pahle bhi is dharti ko tumne
ab to sambhlo ki tukDe hue jate hain
woton ki hawas mein desh ke rahnuma
insani lashon ke saudagar bane jate hain
mazhab aur siyasat mein farq na kar sake
us qaum ke chiraghe azmat bujhe jate hain
ram ke nam par phenke gaye patthar se
rahim ke bande ghayal hue jate hain
mere ghar aag lagane ki koshish mein
dost, dekh tere bhi hath jale jate hain
naya chalan hai ki nafar ke zahr se
dilon ke ghaw par malham lagaye jate hain
gautam gandhi ke desh mein afsos ki phir
adami ke khoon se itihas likhe jate hain
banta tha pahle bhi is dharti ko tumne
ab to sambhlo ki tukDe hue jate hain
woton ki hawas mein desh ke rahnuma
insani lashon ke saudagar bane jate hain
mazhab aur siyasat mein farq na kar sake
us qaum ke chiraghe azmat bujhe jate hain
स्रोत :
रचनाकार : अजीत रायज़ादा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.