एक उम्मीद से नदी की तरफ़ निहारती
बाट जोहती मछली पकड़ने वाली
निषाद लड़कियों की
जिनमें शामिल होती—
एक गोंड, एक तेली,
एक मरार और एक अहीर छोकरी
अपने-अपने कपड़े पचरी में रख
वे उतरतीं घुटने भर पानी में
और पकड़ लेती चारों
एक-एक छोर दुपट्टे का
हो जातीं शाँत
मानो बाबू आ गए हों
देखतीं एकटक
अब आने लगी हैं धीरे-धीरे
छोटी-छोटी मछलियाँ
उनकी साँटी में जमी धूल को खातीं
दुपट्टे में अटकी उड़द खाने
पहले आती चिंगरी
फिर कोतरी
फिर मोंगरी
दुपट्टे में धीरे-धीरे बस जाता
मछलियों का छोटा-सा संसार
और पानी से अचानक ऊपर उठ आती
मछलियों की मृगतृष्णा
सब झपट पड़तीं कि
कौन-सी भूँजी जाएगी
किसका साग बनेगा
किसको कोकड़े के लिए छोड़ना है
और कौन-सा वह ले जाएँगी
बोतल में बंद कर घर में रखने को
…तू मछली नहीं खाती
हमारे यहाँ पाप कहते हैं इसे
ठीक है तू छाँट और ले जा
मरेगी तो फेंक देना
दूसरी पकड़ लेंगे
सब अपनी-अपनी मछली बाँधकर
कूद जातीं नदिया में
हो जातीं मछली…
ek ummid se nadi ki taraf niharti
baat johti machhli pakaDne vali
nishad laDakiyon ki
jinmen shamil hoti—
ek gonD, ek teli,
ek marar aur ek ahir chhokri
apne apne kapDe pachri mein rakh
ve utartin ghutne bhar pani men
aur pakaD leti charon
ek ek chhor dupatte ka
ho jatin shaant
mano babu aa ge hon
dekhtin ektak
ab aane lagi hain dhire dhire
chhoti chhoti machhliyan
unki santi mein jami dhool ko khatin
dupatte mein atki uDad khane
pahle aati chingri
phir kotri
phir mongri
dupatte mein dhire dhire bas jata
machhaliyon ka chhota sa sansar
aur pani se achanak uupar uth aati
machhaliyon ki mrigtrishna
sab jhapat paDtin ki
kaun si bhunji jayegi
kiska saag banega
kisko kokDe ke liye chhoDna hai
aur kaun sa wo le jayengi
botal mein band kar ghar mein rakhne ko
…tu machhli nahin khati
hamare yahan paap kahte hain ise
theek hai tu chhaant aur le ja
maregi to phenk dena
dusri pakaD lenge
sab apni apni machhli bandhakar
kood jatin nadiya men
ho jatin machhli…
ek ummid se nadi ki taraf niharti
baat johti machhli pakaDne vali
nishad laDakiyon ki
jinmen shamil hoti—
ek gonD, ek teli,
ek marar aur ek ahir chhokri
apne apne kapDe pachri mein rakh
ve utartin ghutne bhar pani men
aur pakaD leti charon
ek ek chhor dupatte ka
ho jatin shaant
mano babu aa ge hon
dekhtin ektak
ab aane lagi hain dhire dhire
chhoti chhoti machhliyan
unki santi mein jami dhool ko khatin
dupatte mein atki uDad khane
pahle aati chingri
phir kotri
phir mongri
dupatte mein dhire dhire bas jata
machhaliyon ka chhota sa sansar
aur pani se achanak uupar uth aati
machhaliyon ki mrigtrishna
sab jhapat paDtin ki
kaun si bhunji jayegi
kiska saag banega
kisko kokDe ke liye chhoDna hai
aur kaun sa wo le jayengi
botal mein band kar ghar mein rakhne ko
…tu machhli nahin khati
hamare yahan paap kahte hain ise
theek hai tu chhaant aur le ja
maregi to phenk dena
dusri pakaD lenge
sab apni apni machhli bandhakar
kood jatin nadiya men
ho jatin machhli…
स्रोत :
रचनाकार : प्राची
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.