केवल तल के ऊपर ही नहीं बहती नदी
अपने तल से नीचे भी
बहती रहती है नदी
अपनी अदृश्य जलराशियों के साथ
अपनी अनजानी यात्राओं पर
केवल सागर से ही नहीं मिलती नदी
उसके किनारे बसे
किसी गाँव के कुएँ में
झाँककर देखो कभी
नदी हिलोरे मार रही होगी वहाँ
यह जो उसकी रेती में
ख़रबूज़े की फ़सल लहलहा रही है
उसकी मिठास में
सूरज की गर्मी के साथ-साथ
नदी का जल भी है
जो रेत के नीचे-नीचे बहकर
आया है उसके लिए
गाँव का वह ताल
जो भरा रहता है हमेशा
नदी उसे भी थामे हुए है
अपने अदृश्य हाथों से
kewal tal ke upar hi nahin bahti nadi
apne tal se niche bhi
bahti rahti hai nadi
apni adrshy jalrashiyon ke sath
apni anjani yatraon par
kewal sagar se hi nahin milti nadi
uske kinare base
kisi ganw ke kuen mein
jhankakar dekho kabhi
nadi hilore mar rahi hogi wahan
ye jo uski reti mein
kharbuze ki fasal lahlaha rahi hai
uski mithas mein
suraj ki garmi ke sath sath
nadi ka jal bhi hai
jo ret ke niche niche bahkar
aya hai uske liye
ganw ka wo tal
jo bhara rahta hai hamesha
nadi use bhi thame hue hai
apne adrshy hathon se
kewal tal ke upar hi nahin bahti nadi
apne tal se niche bhi
bahti rahti hai nadi
apni adrshy jalrashiyon ke sath
apni anjani yatraon par
kewal sagar se hi nahin milti nadi
uske kinare base
kisi ganw ke kuen mein
jhankakar dekho kabhi
nadi hilore mar rahi hogi wahan
ye jo uski reti mein
kharbuze ki fasal lahlaha rahi hai
uski mithas mein
suraj ki garmi ke sath sath
nadi ka jal bhi hai
jo ret ke niche niche bahkar
aya hai uske liye
ganw ka wo tal
jo bhara rahta hai hamesha
nadi use bhi thame hue hai
apne adrshy hathon se
स्रोत :
रचनाकार : संजीव गुप्त
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.