सिर्फ़ कविता ही वह जगह है
जहाँ किसी सरकार का कोई बस नहीं चलता
कोई राजा अपनी मूँछ पर ताव नहीं दे सकता
जहाँ चाँद को भी रोटी बनाया जा सकता है
और सूरज को चूल्हा
वहाँ नदियों को उस माँ का आँसू भी कह सकते हो
जिसका दस साल का बच्चा परदेस गया है कमाने
कविता ही है वह जगह
जहाँ ईश्वर को भी मनुष्यों को तरह होना होता है
हँसना होता है, रोना होता है
वहाँ सीता की उदास आँखों पर वारी जा सकती है
राम की शक्तिपूजा
अग्नि-परीक्षा के बीचोंबीच
रच सकता है कवि
सीता के लिए एक अलग देश
एक अलग कहानी
जहाँ कोई राम चाह कर भी नहीं ले सकता किसी सीता की परीक्षा
जहाँ सिर्फ़ राम ही नहीं त्याग सकते
सीता भी त्याग सकती है राम को
कविता में बहेलियों के तीर
रास्ता भटक जाते हैं
और लगते हैं आखेट के देवता के हृदय में
उसका हृदय परिवर्तन हो जाता है
और वह मछलियों को चारा देने लगता है
कविता में एक दुनिया होती है
जिसमें धड़कता है
आँगन बुहारती एक स्त्री का हृदय।
sirf kawita hi wo jagah hai
jahan kisi sarkar ka koi bus nahin chalta
koi raja apni moonchh par taw nahin de sakta
jahan chand ko bhi roti banaya ja sakta hai
aur suraj ko chulha
wahan nadiyon ko us man ka ansu bhi kah sakte ho
jiska das sal ka bachcha pardes gaya hai kamane
kawita hi hai wo jagah
jahan ishwar ko bhi manushyon ko tarah hona hota hai
hansna hota hai, rona hota hai
wahan sita ki udas ankhon par wari ja sakti hai
ram ki shaktipuja
agni pariksha ke bichombich
rach sakta hai kawi
sita ke liye ek alag desh
ek alag kahani
jahan koi ram chah kar bhi nahin le sakta kisi sita ki pariksha
jahan sirf ram hi nahin tyag sakte
sita bhi tyag sakti hai ram ko
kawita mein baheliyon ke teer
rasta bhatak jate hain
aur lagte hain akhet ke dewta ke hirdai mein
uska hirdai pariwartan ho jata hai
aur wo machhaliyon ko chara dene lagta hai
kawita mein ek duniya hoti hai
jismen dhaDakta hai
angan buharti ek istri ka hirdai

स्रोत :
रचनाकार : अनुराग अनंत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.