जिसके जीवन में
सबसे ज़्यादा उदासी है
वह रोज़ सींचती है
फूल के गाछ
सुबह जगती है फूल की आशा लिए
कोई तो खिला होगा टहनी पर
हद ये कि
इस खिलने का एक कोना भी
परछाईं की तरह
नहीं गिरता उसके उदास चेहरे पर
यही होता है अक्सर
जहाँ छप्पन भोग है वहाँ
जीभ को स्वाद की तलाश है
जो वर्जित है वह एक कामना
जो नमक की तरह खारा है
उसके बिना मिठास नहीं आती
पानी का संगीत सुनने के लिए
बैठा था वह नदी के किनारे
दिखाई देती है
उछलती सतह पर काँटों से बिंधी मछली।
jiske jiwan mein
sabse zyada udasi hai
wo roz sinchti hai
phool ke gachh
subah jagti hai phool ki aasha liye
koi to khila hoga tahni par
had ye ki
is khilne ka ek kona bhi
parchhain ki tarah
nahin girta uske udas chehre par
yahi hota hai aksar
jahan chhappan bhog hai wahan
jeebh ko swad ki talash hai
jo warjit hai wo ek kamna
jo namak ki tarah khara hai
uske bina mithas nahin aati
pani ka sangit sunne ke liye
baitha tha wo nadi ke kinare
dikhai deti hai
uchhalti satah par kanton se bindhi machhli
jiske jiwan mein
sabse zyada udasi hai
wo roz sinchti hai
phool ke gachh
subah jagti hai phool ki aasha liye
koi to khila hoga tahni par
had ye ki
is khilne ka ek kona bhi
parchhain ki tarah
nahin girta uske udas chehre par
yahi hota hai aksar
jahan chhappan bhog hai wahan
jeebh ko swad ki talash hai
jo warjit hai wo ek kamna
jo namak ki tarah khara hai
uske bina mithas nahin aati
pani ka sangit sunne ke liye
baitha tha wo nadi ke kinare
dikhai deti hai
uchhalti satah par kanton se bindhi machhli
स्रोत :
रचनाकार : शंकरानंद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.