...लेकिन
यह है मूर्तियों का युग
मूर्तियाँ हर रास्ते में निकल कर खड़ी हैं
मूर्तियाँ
हवा की यात्रा की दिशा बदल देती हैं
मूर्तियाँ ज़्यादा हैं
पुलिस वालों से भी
साइन-बोर्डों से भी
मूर्तियाँ
मृत्यु का उपहास करती हैं
मरे हुए लोग,
मूर्तियों में ज़िंदा खड़े हैं
लेकिन
यह है मूर्तियों का युग
'कहाँ जा रहे हैं महाशय?'
'फलाँ से फलाँ जगह।'
'ऐसे नहीं,
इस तरह कहिए
इस मूर्ति से उस मूर्ति तक
उस मूर्ति से मूर्तियों तक'
लेकिन
यह है मूर्तियों का युग
किससे बनाते हैं हम मूर्तियाँ?
पत्थर, मिट्टी, लकड़ी, धातु से
किसलिए बनाते हैं मूर्तियाँ?
'काल, मन, ज्ञान, प्रेम के लिए।'
भय के अंधकार को उरेह कर
ईश्वर की मूर्ति
शब्द के नमक को टाँक कर
कवि की मूर्ति
स्वप्न-तुहिन से
प्रेम की मूर्ति
रक्त के सूर्य से
स्वतंत्रता की मूर्ति
क्यों बनाते हैं मूर्तियाँ?
'काल, चित्, उँगली'
लेकिन
यह है मूर्तियों का युग
इन मनहूस मूर्तियों को
किससे बनाया हम ने?
पत्थर के मौन से नहीं
वृक्ष की करुणा से नहीं
धातु के घोल से नहीं
काल हृदय से नहीं
इन मूर्तियों के उँगली हिलाने पर
हड़बड़ा जाते हैं सारे पथ
इन मूर्तियों की ज़ुबान हिलते ही
शब्द हो जाते हैं दुर्गंधित
मैल जमा करके
बनाई है हमने
ये मूर्तियाँ
क्योंकि यह है मूर्तियों का युग।
lekin
ye hai murtiyon ka yug
murtiyan har raste mein nikal kar khaDi hain
murtiyan
hawa ki yatra ki disha badal deti hain
murtiyan zyada hain
police walon se bhi
sain borDon se bhi
murtiyan
mirtyu ka uphas karti hain
mare hue log,
murtiyon mein zinda khaDe hain
lekin
ye hai murtiyon ka yug
kahan ja rahe hain mahashay?
phalan se phalan jagah
aise nahin,
is tarah kahiye
is murti se us murti tak
us murti se murtiyon tak
lekin
ye hai murtiyon ka yug
kisse banate hain hum murtiyan?
patthar, mitti, lakDi, dhatu se
kisaliye banate hain murtiyan?
kal, man, gyan, prem ke liye
bhay ke andhkar ko ureh kar
ishwar ki murti
shabd ke namak ko tank kar
kawi ki murti
swapn tuhin se
prem ki murti
rakt ke surya se
swtantrta ki murti
kyon banate hain murtiyan?
kal, chit, ungli
lekin
ye hai murtiyon ka yug
in manhus murtiyon ko
kisse banaya hum ne?
patthar ke maun se nahin
wriksh ki karuna se nahin
dhatu ke ghol se nahin
kal hirdai se nahin
in murtiyon ke ungli hilane par
haDbaDa jate hain sare path
in murtiyon ki zuban hilte hi
shabd ho jate hain durgandhit
mail jama karke
banai hai hamne
ye murtiyan
kyonki ye hai murtiyan ka yug
lekin
ye hai murtiyon ka yug
murtiyan har raste mein nikal kar khaDi hain
murtiyan
hawa ki yatra ki disha badal deti hain
murtiyan zyada hain
police walon se bhi
sain borDon se bhi
murtiyan
mirtyu ka uphas karti hain
mare hue log,
murtiyon mein zinda khaDe hain
lekin
ye hai murtiyon ka yug
kahan ja rahe hain mahashay?
phalan se phalan jagah
aise nahin,
is tarah kahiye
is murti se us murti tak
us murti se murtiyon tak
lekin
ye hai murtiyon ka yug
kisse banate hain hum murtiyan?
patthar, mitti, lakDi, dhatu se
kisaliye banate hain murtiyan?
kal, man, gyan, prem ke liye
bhay ke andhkar ko ureh kar
ishwar ki murti
shabd ke namak ko tank kar
kawi ki murti
swapn tuhin se
prem ki murti
rakt ke surya se
swtantrta ki murti
kyon banate hain murtiyan?
kal, chit, ungli
lekin
ye hai murtiyon ka yug
in manhus murtiyon ko
kisse banaya hum ne?
patthar ke maun se nahin
wriksh ki karuna se nahin
dhatu ke ghol se nahin
kal hirdai se nahin
in murtiyon ke ungli hilane par
haDbaDa jate hain sare path
in murtiyon ki zuban hilte hi
shabd ho jate hain durgandhit
mail jama karke
banai hai hamne
ye murtiyan
kyonki ye hai murtiyan ka yug
स्रोत :
पुस्तक : शब्द सेतु (दस भारतीय कवि) (पृष्ठ 80)
संपादक : गिरधर राठी
रचनाकार : कवि के साथ एन. बालसुब्रह्मण्यन एवं विमल कुमार
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.