मूर्खों की दुनिया में रोज़ उत्सव है
पर सीमित हैं ख़ुश होने के उनके तरीक़े
बहुत कम शब्दों में चलता है उनका काम
और हँसने की भी बस एक शैली
उसे इतना नादान मत समझो
वह जो धँसा बैठा है
गद्देदार कुर्सी पर एक विदूषक
वह अपने अज्ञान पर क़तई शर्मिंदा नहीं है
कितना भयावह लगता है
अज्ञानियों का आत्मविश्वास
दीमकों की तरह बजबजाती हुई उनकी भीड़
खड़ी रहती है इतिहास के रास्ते में
जब तुम कुछ भारी-भरकम किताबें उठाए चलते हो
कितना मुश्किल होता है
उनकी भीड़ को चीरकर निकल पाना
उन्हें इतना अज्ञानी भी मत समझो
वे अँधेरा रचना जानते हैं
बस इसी एक ज्ञान के सहारे
वे असंभव बना देते हैं
तुम्हारा एक चौराहे से दूसरे चौराहे तक पहुँचना
तुम्हारी दुनिया में हिचक है
संशय है, औचित्य, अनौचित्य है
उनके पास कोई प्रश्न नहीं
वे एक ही वाक्य को दोहराते हुए
पूरा जीवन गुज़ार सकते हैं
नाक की सीध में लगातार
चलते हुए भी थकते नहीं
देखो बिना किसी द्वंद्व के
कितनी जल्दी उठा लेते हैं
वे कोई भी ध्वज
मूर्खता के बारे में अभी तक
कोई आधिकारिक फ़ैसला नहीं हुआ है
और जब तक ऐसा नहीं होता
किसी की हिम्मत नहीं
कि उनकी आँखों में आँखें डालकर
कह सके—मूर्ख कहीं के
हो सकता है
वे एक सम्मेलन बुलाएँ
और सर्वसम्मति से तुम्हें घोषित करें
इस देश का महामूर्ख
यह सम्मेलन
निश्चय ही होली के दिन नहीं होगा
बुद्धिमानो,
तुम सब एक दिन जेल में
डाल दिए जाओगे
जहाँ पहली अप्रैल को तुम्हारे बीच
फल और मिठाइयाँ बाँटने
आया करेगा मूर्खों का बादशाह
murkhon ki duniya mein roz utsaw hai
par simit hain khush hone ke unke tariqe
bahut kam shabdon mein chalta hai unka kaam
aur hansne ki bhi bus ek shaili
use itna nadan mat samjho
wo jo dhansa baitha hai
gaddedar kursi par ek widushak
wo apne agyan par qati sharminda nahin hai
kitna bhayawah lagta hai
agyaniyon ka atmawishwas
dimkon ki tarah bajabjati hui unki bheeD
khaDi rahti hai itihas ke raste mein
jab tum kuch bhari bharkam kitaben uthaye chalte ho
kitna mushkil hota hai
unki bheeD ko chirkar nikal pana
unhen itna agyani bhi mat samjho
we andhera rachna jante hain
bus isi ek gyan ke sahare
we asambhaw bana dete hain
tumhara ek chaurahe se dusre chaurahe tak pahunchna
tumhari duniya mein hichak hai
sanshay hai, auchity, anauchity hai
unke pas koi parashn nahin
we ek hi waky ko dohrate hue
pura jiwan guzar sakte hain
nak ki seedh mein lagatar
chalte hue bhi thakte nahin
dekho bina kisi dwandw ke
kitni jaldi utha lete hain
we koi bhi dhwaj
murkhata ke bare mein abhi tak
koi adhikarik faisla nahin hua hai
aur jab tak aisa nahin hota
kisi ki himmat nahin
ki unki ankhon mein ankhen Dalkar
kah sake—murkh kahin ke
ho sakta hai
we ek sammelan bulayen
aur sarwasammati se tumhein ghoshait karen
is desh ka mahamurkh
ye sammelan
nishchay hi holi ke din nahin hoga
buddhimano,
tum sab ek din jel mein
Dal diye jaoge
jahan pahli april ko tumhare beech
phal aur mithaiyan bantne
aya karega murkhon ka badashah
murkhon ki duniya mein roz utsaw hai
par simit hain khush hone ke unke tariqe
bahut kam shabdon mein chalta hai unka kaam
aur hansne ki bhi bus ek shaili
use itna nadan mat samjho
wo jo dhansa baitha hai
gaddedar kursi par ek widushak
wo apne agyan par qati sharminda nahin hai
kitna bhayawah lagta hai
agyaniyon ka atmawishwas
dimkon ki tarah bajabjati hui unki bheeD
khaDi rahti hai itihas ke raste mein
jab tum kuch bhari bharkam kitaben uthaye chalte ho
kitna mushkil hota hai
unki bheeD ko chirkar nikal pana
unhen itna agyani bhi mat samjho
we andhera rachna jante hain
bus isi ek gyan ke sahare
we asambhaw bana dete hain
tumhara ek chaurahe se dusre chaurahe tak pahunchna
tumhari duniya mein hichak hai
sanshay hai, auchity, anauchity hai
unke pas koi parashn nahin
we ek hi waky ko dohrate hue
pura jiwan guzar sakte hain
nak ki seedh mein lagatar
chalte hue bhi thakte nahin
dekho bina kisi dwandw ke
kitni jaldi utha lete hain
we koi bhi dhwaj
murkhata ke bare mein abhi tak
koi adhikarik faisla nahin hua hai
aur jab tak aisa nahin hota
kisi ki himmat nahin
ki unki ankhon mein ankhen Dalkar
kah sake—murkh kahin ke
ho sakta hai
we ek sammelan bulayen
aur sarwasammati se tumhein ghoshait karen
is desh ka mahamurkh
ye sammelan
nishchay hi holi ke din nahin hoga
buddhimano,
tum sab ek din jel mein
Dal diye jaoge
jahan pahli april ko tumhare beech
phal aur mithaiyan bantne
aya karega murkhon ka badashah
स्रोत :
रचनाकार : संजय कुंदन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.