मैं एक ऐसी व्यवस्था में जीता हूँ
जहाँ मुक्त ज़िंदगी की तमाम संभावनाएँ
सफ़ेद आतंक से भरी इमारतों के कोनों में
नन्हें ख़रगोशों की तरह दुबकी पड़ी हैं।
और मुक्ति के लिए छटपटाता मेरा मन—
वामपंथी राजनीति के तीन शिविरों में भटकता है
और हर शिविर से—
मुक्ति का एक दस्तावेज़ लेकर लौटता है।
और अब—
शिविर-दर-शिविर भटकने के बाद
कुछ ऐसा हो गया है
कि मुझसे मेरा बहुत—कुछ खो गया है
मसलन कई प्रिय शब्दों के अर्थ
चीज़ों के नाम
संबंधों का बोध
और कुछ-कुछ अपनी पहचान।
अब तो हर आस्था गहरे संशय को जन्म देती है
और नया विश्वास अनेकों डर जगाता है।
संशय और छोटे-छोटे डरों के बीच जूझता मैं—
जब कभी हताश हो जाता हूँ
तो न किसी शिविर की ओर दौड़ सकता हूँ
न ही किसी दस्तावेज़ में अर्थ भर पाता हूँ।
अब तो अपने स्नायुतंत्र में छटपटाहट ले
इस व्यवस्था पर—
केवल एक क्रूर अट्टहास कर सकता हूँ।
main ek aisi vyavastha mein jita hoon
jahan mukt zindagi ki tamam sambhavnayen
safed atank se bhari imarton ke konon mein
nanhen khargoshon ki tarah dubki paDi hain.
aur mukti ke liye chhatpatata mera man—
vampanthi rajaniti ke teen shiviron mein bhatakta hai
aur har shivir se—
mukti ka ek dastavez lekar lautta hai.
aur ab—
shivir dar shivir bhatakne ke baad
kuch aisa ho gaya hai
ki mujhse mera bahut—kuchh kho gaya hai
masalan kai priy shabdon ke arth
chizon ke naam
sambandhon ka bodh
aur kuch kuch apni pahchan.
ab to har astha gahre sanshay ko janm deti hai
aur naya vishvas anekon Dar jagata hai.
sanshay aur chhote chhote Daron ke beech jujhta main—
jab kabhi hatash ho jata hoon
to na kisi shivir ki or dauD sakta hoon
na hi kisi dastavez mein arth bhar pata hoon.
ab to apne snayutantr mein chhatpatahat le
is vyavastha par—
keval ek kroor attahas kar sakta hoon.
main ek aisi vyavastha mein jita hoon
jahan mukt zindagi ki tamam sambhavnayen
safed atank se bhari imarton ke konon mein
nanhen khargoshon ki tarah dubki paDi hain.
aur mukti ke liye chhatpatata mera man—
vampanthi rajaniti ke teen shiviron mein bhatakta hai
aur har shivir se—
mukti ka ek dastavez lekar lautta hai.
aur ab—
shivir dar shivir bhatakne ke baad
kuch aisa ho gaya hai
ki mujhse mera bahut—kuchh kho gaya hai
masalan kai priy shabdon ke arth
chizon ke naam
sambandhon ka bodh
aur kuch kuch apni pahchan.
ab to har astha gahre sanshay ko janm deti hai
aur naya vishvas anekon Dar jagata hai.
sanshay aur chhote chhote Daron ke beech jujhta main—
jab kabhi hatash ho jata hoon
to na kisi shivir ki or dauD sakta hoon
na hi kisi dastavez mein arth bhar pata hoon.
ab to apne snayutantr mein chhatpatahat le
is vyavastha par—
keval ek kroor attahas kar sakta hoon.
स्रोत :
पुस्तक : संपूर्ण कविताएँ (पृष्ठ 45)
रचनाकार : कुमार विकल
प्रकाशन : आधार प्रकाशन
संस्करण : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.