मेरी खोज में निकले लोगों ने
हमेशा मुझे ग़लत जगहों पर खोजा
मैं दुर्घटनाबहुल जगहों पर तलाशा गया
जबकि मैं क्यारी में फूल बनकर खिल रहा था
जब मुझे राजमहलों में खोजा जा रहा था
तब मैं किसी तहख़ाने की दीवार में चुना जा चुका था
वे मुझे किसी चौराहे की भीड़ में खोज रहे थे
मैं पगडंडी के किनारे कुएँ की पाट पर लेटा हुआ था
उन्होंने कुटिल मुस्कानों और अट्टहासों के बीच तलाशा
और मैं झाँ… झाँ… करके खेलते बच्चों की हँसी में गुम रहा
मैं जानता हूँ...
आने वाले वक़्त में
जब ये लोग मुझे किताब के पन्नों में खोजेंगे
किताब पर जमी धूल की ओर उनका ध्यान नहीं जाएगा
वो कविता के शब्दों में मेरी उपस्थिति के छीटें तलाशेंगे
शब्दों के बीच की अश्रव्य पीड़ा उनसे अनदेखी छूट जाएगी
हाथ में तस्वीर लिए कुछ लोग राहगीरों से मेरे बारे में पूछेंगे
सड़क के दूसरी ओर काम करते मेहतरों की ओर उनका ध्यान नहीं जाएगा...
दुनिया की
तमाम खोजों के इतिहास
मिलने के अभिलिखित वृत्तांत
और सभी कोलंबसों के अनुभवी बयानात…
मुझे तुमसे ये कहने पर विवश कर रहे हैं—
मुझे सही जगहों पर तलाशना…!
meri khoj mein nikle logon ne
hamesha mujhe ghalat jaghon par khoja
main durghatnabhul jaghon par talasha gaya
jabki main kyari mein phool bankar khil raha tha
jab mujhe rajamahlon mein khoja ja raha tha
tab main kisi tahkhane ki divar mein chuna ja chuka tha
ve mujhe kisi chaurahe ki bheeD mein khoj rahe the
main pagDanDi ke kinare kuen ki paat par leta hua tha
unhonne kutil muskanon aur atthason ke beech talasha
aur main jhan…jhan…karke khelte bachchon ki hansi mein gum raha
main janta hoon. . .
aane vale vakt men
jab ye log mujhe kitab ke pannon mein khojenge
kitab par jami dhool ki or unka dhyaan nahin jayega
wo kavita ke shabdon mein meri upasthiti ke chhiten talashenge
shabdon ke beech ki ashravya piDa unse andekhi chhoot jayegi
haath mein tasvir liye kuch log rahgiron se mere bare mein puchhenge
saDak ke dusri or kaam karte mehatron ki or unka dhyaan nahin jayega. . .
duniya ki
tamam khojon ke itihas
milne ke abhilikhit vrittant
aur sabhi kolambson ke anubhvi bayanat…
mujhe tumse ye kahne par vivash kar rahe hain—
mujhe sahi jaghon par talashna…!

स्रोत :
रचनाकार : गौरव सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.