मैं और सुबह आता
पर देर हो गई
मैं चला गया था
शाम के परिंदों के साथ
जंगलों, पहाड़ों के पास
रात भर रहा सुनता पत्तों पर ओस का टपकना
पेड़ों के साथ
खड़ा रहा निविड़ अंधकार में
तारों की डूबती निगाहें
देखती रहीं मुझे अशब्द
प्राणों की काँपती पुकारें और विकल पंख-ध्वनियाँ
जगाए रहीं रात भर
निगलती रहीं मुझको भूखी छायाएँ
लौटते समय
मेरे रस्ते में फैला था
बकरी की आँखों-सा पीला सन्नाटा
जले हुए डैने छितराए
सारस-सा गिरा था सवेरा
सवेरे से पहले
फेंक गया था कोई जन्मजात बच्चा
शिशिर के जलाशय में फूलकर
सफ़ेद हुआ था उसका फूल-सा शरीर
उसकी ही बंद मुट्ठियों में
मैं फँसा रह गया था कुछ देर, मुझे क्षमा करें
मैं और सुबह आता
पर देर हो गई।
main aur subah aata
par der ho gai
main chala gaya tha
shaam ke parindon ke saath
jangalon, pahaDon ke paas
ratbhar raha sunta patton par os ka tapakna
peDon ke saath
khaDa raha niviD andhkar men
taron ki Dubti nigahen
dekhti rahin mujhe nishabd
pranon ki kanpti pukaren aur vikal pankh dhvaniyan
jagaye rahin ratbhar
nigalti rahin mujhko bhukhi chhayayen
lautte samay
mere raste mein phaila tha
bakri ki ankhon sa pila sannata
jale hue Daine chhitraye
saras sa gira tha savera
savere se pahle
phenk gaya tha koi janmajat bachcha
shishir ke jalashay mein phulkar
safed hua tha uska phool sa sharir
uski hi band mutthiyon mein main phansa rah gaya tha kuch der, mujhe kshama karen
main aur subah aata
par der ho gai.
main aur subah aata
par der ho gai
main chala gaya tha
shaam ke parindon ke saath
jangalon, pahaDon ke paas
ratbhar raha sunta patton par os ka tapakna
peDon ke saath
khaDa raha niviD andhkar men
taron ki Dubti nigahen
dekhti rahin mujhe nishabd
pranon ki kanpti pukaren aur vikal pankh dhvaniyan
jagaye rahin ratbhar
nigalti rahin mujhko bhukhi chhayayen
lautte samay
mere raste mein phaila tha
bakri ki ankhon sa pila sannata
jale hue Daine chhitraye
saras sa gira tha savera
savere se pahle
phenk gaya tha koi janmajat bachcha
shishir ke jalashay mein phulkar
safed hua tha uska phool sa sharir
uski hi band mutthiyon mein main phansa rah gaya tha kuch der, mujhe kshama karen
main aur subah aata
par der ho gai.
स्रोत :
रचनाकार : राकेश रंजन
प्रकाशन : हिंदी समय
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.