मिलना जैसे पानी पानी में मिलता है
जल जब शीत से मिलता है
ओस बन जाता है
चमकता हुआ हरे पत्ते पर सूरज की पहली किरण के लिए
कि इस चमक में कहाँ जल है किसकी रश्मियाँ और कहाँ शीत
शब्दों से अर्थ मिलते हैं पर गिर नहीं जातीं उनकी ध्वनियाँ
शहद अपनी मिठास में घुलता जाता है
पहले तो वह फूल में घुलता है फिर पराग में फिर गुंजार में
लय से नृत्य मिलता है और दोनों बचे रहते हैं एक होने के उत्कर्ष पर
जैसे देह पर नमक
उच्चरित जब कंठ में घुलता है
एक नदी बह निकलती है पत्थरों को तराशती हुई नम कर सके रेत का अंतिम कण
धूप में रहती है गर्माहट
चाँदनी में शालीनता
पूर्णिमा पूर्णता का संतुलन है
अमावस अपने को खो देने की गरिमा
मिलना तब जब कोई उम्मीद न हो कोई
आहट भी नहीं
मिलना तब और भी मिल जाना होता है
भूख से मिले पके हुए अन्न
पहले धूप के पौधों में गाढ़ा धारोष्ण फिर
रोग से औषधि
वहीं जहाँ उसकी ज़रूरत हो उसे मिटाता हुआ सुखाता हुआ
उसकी हर आशंका को नष्ट करता हुआ
उदास स्त्री को मिले उसका व्यतीत प्रेम
प्रेम को मिले उसका आतुरता
आकर्षण में कुछ इस तरह घुल जाए कामुकता कि मिलना
पिघल जाना हो
चेहरे पर जैसे आभा
दाँतों पर रुकी हुई हँसी
होंठों पर चुप्पी की सलवटें
प्रेमियों के मिलने के बाद भी
बची रही गई उत्कंठा
मनुष्य में न मिलना क्रूरता और कपट की तरह
जितने बड़े बनना उतना ही पसर कर छोटा हो जाना
कभी नहीं मिलाना
राजनीति में धर्म
न्याय में अधर्म
मिलना प्रकाश की तरह कि जिससे वह मिले
उसका होना और दिखे।
milna jaise pani pani mein milta hai
jal jab sheet se milta hai
os ban jata hai
chamakta hua hare patte par suraj ki pahli kiran ke liye
ki is chamak mein kahan jal hai kiski rashmiyan aur kahan sheet
shabdon se arth milte hain par gir nahin jatin unki dhwaniyan
shahd apni mithas mein ghulta jata hai
pahle to wo phool mein ghulta hai phir prag mein phir gunjar mein
lai se nrity milta hai aur donon bache rahte hain ek hone ke utkarsh par
jaise deh par namak
uchcharit jab kanth mein ghulta hai
ek nadi bah nikalti hai patthron ko tarashti hui nam kar sake ret ka antim kan
dhoop mein rahti hai garmahat
chandni mein shalinata
purnaima purnata ka santulan hai
amawas apne ko kho dene ki garima
milna tab jab koi ummid na ho koi
ahat bhi nahin
milna tab aur bhi mil jana hota hai
bhookh se mile pake hue ann
pahle dhoop ke paudhon mein gaDha dharoshn phir
rog se aushadhi
wahin jahan uski zarurat ho use mitata hua sukhata hua
uski har ashanka ko nasht karta hua
udas istri ko mile uska wyatit prem
prem ko mile uska aturta
akarshan mein kuch is tarah ghul jaye kamukta ki milna
pighal jana ho
chehre par jaise aabha
danton par ruki hui hansi
honthon par chuppi ki salawten
premiyon ke milne ke baad bhi
bachi rahi gai utkantha
manushya mein na milna krurata aur kapat ki tarah
jitne baDe banna utna hi pasar kar chhota ho jana
kabhi nahin milana
rajaniti mein dharm
nyay mein adharm
milna parkash ki tarah ki jisse wo mile
uska hona aur dikhe
milna jaise pani pani mein milta hai
jal jab sheet se milta hai
os ban jata hai
chamakta hua hare patte par suraj ki pahli kiran ke liye
ki is chamak mein kahan jal hai kiski rashmiyan aur kahan sheet
shabdon se arth milte hain par gir nahin jatin unki dhwaniyan
shahd apni mithas mein ghulta jata hai
pahle to wo phool mein ghulta hai phir prag mein phir gunjar mein
lai se nrity milta hai aur donon bache rahte hain ek hone ke utkarsh par
jaise deh par namak
uchcharit jab kanth mein ghulta hai
ek nadi bah nikalti hai patthron ko tarashti hui nam kar sake ret ka antim kan
dhoop mein rahti hai garmahat
chandni mein shalinata
purnaima purnata ka santulan hai
amawas apne ko kho dene ki garima
milna tab jab koi ummid na ho koi
ahat bhi nahin
milna tab aur bhi mil jana hota hai
bhookh se mile pake hue ann
pahle dhoop ke paudhon mein gaDha dharoshn phir
rog se aushadhi
wahin jahan uski zarurat ho use mitata hua sukhata hua
uski har ashanka ko nasht karta hua
udas istri ko mile uska wyatit prem
prem ko mile uska aturta
akarshan mein kuch is tarah ghul jaye kamukta ki milna
pighal jana ho
chehre par jaise aabha
danton par ruki hui hansi
honthon par chuppi ki salawten
premiyon ke milne ke baad bhi
bachi rahi gai utkantha
manushya mein na milna krurata aur kapat ki tarah
jitne baDe banna utna hi pasar kar chhota ho jana
kabhi nahin milana
rajaniti mein dharm
nyay mein adharm
milna parkash ki tarah ki jisse wo mile
uska hona aur dikhe
स्रोत :
रचनाकार : अरुण देव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.