किसी कवि की तरह तेज़ था वह अपराधी
जिसने एक झूमते हुए वृक्ष को देखा
और कहा
देखो-देखो एक मेज़ झूम रही है
मेज़ पर ही दिखे उसे फल और फूल
चहकती हुई चिड़ियाँ उसे मेज़ पर ही दिखीं
झूम रहे वृक्ष पर
आख़िर उसने डाल दिया मेज़पोश
मेज़पोशों से नफ़रत है मुझे
नंगी ही रहने दो मेरी पीठ
उस पर धारियाँ हैं
धारियों में उम्र है मेरी
एक-एक धारी एक-एक बरस की है
ऋतुएँ बदलती हैं तो
अब भी इन धारियों में होती है सिहरन
बारिश में तो रेशा-रेशा ऐंठता है
पीठ मेरी नंगी ही रहने दो
शायद किसी दिन और दूसरी तरह का कवि
पहचान ले और ले जाए कविता से बाहर
भले ही घसीटता ले जाए अदालत की सीढ़ियों पर
और कहे कि जज साहब देखो
गिनो इसकी धारियाँ
और गिनो इसमें ठुकी हुई कीलें
लेकिन क्या किसी जज को दिखेंगे
लहराते हुए चाबुक और झुकी हुई पीठों पर
उभरती हुई धारियाँ इन धारियों में
क्योंकि जज साहब के पास भी तो
होगी एक मेज़
और उस पर बिछा होगा मेज़पोश।
kisi kawi ki tarah tez tha wo apradhi
jisne ek jhumte hue wriksh ko dekha
aur kaha
dekho dekho ek mez jhoom rahi hai
mez par hi dikhe use phal aur phool
chahakti hui chiDiyan use mez par hi dikhin
jhoom rahe wriksh par
akhir usne Dal diya mezposh
mezposhon se nafar hai mujhe
nangi hi rahne do meri peeth
us par dhariyan hain
dhariyon mein umr hai meri
ek ek dhari ek ek baras ki hai
rituen badalti hain to
ab bhi in dhariyon mein hoti hai siharan
barish mein to resha resha ainthta hai
peeth meri nangi hi rahne do
shayad kisi din aur dusri tarah ka kawi
pahchan le aur le jaye kawita se bahar
bhale hi ghasitta le jaye adalat ki siDhiyon par
aur kahe ki jaj sahab dekho
gino iski dhariyan
aur gino ismen thuki hui kilen
lekin kya kisi jaj ko dikhenge
lahrate hue chabuk aur jhuki hui pithon par
ubharti hui dhariyan in dhariyon mein
kyonki jaj sahab ke pas bhi to
hogi ek mez
aur us par bichha hoga mezposh
kisi kawi ki tarah tez tha wo apradhi
jisne ek jhumte hue wriksh ko dekha
aur kaha
dekho dekho ek mez jhoom rahi hai
mez par hi dikhe use phal aur phool
chahakti hui chiDiyan use mez par hi dikhin
jhoom rahe wriksh par
akhir usne Dal diya mezposh
mezposhon se nafar hai mujhe
nangi hi rahne do meri peeth
us par dhariyan hain
dhariyon mein umr hai meri
ek ek dhari ek ek baras ki hai
rituen badalti hain to
ab bhi in dhariyon mein hoti hai siharan
barish mein to resha resha ainthta hai
peeth meri nangi hi rahne do
shayad kisi din aur dusri tarah ka kawi
pahchan le aur le jaye kawita se bahar
bhale hi ghasitta le jaye adalat ki siDhiyon par
aur kahe ki jaj sahab dekho
gino iski dhariyan
aur gino ismen thuki hui kilen
lekin kya kisi jaj ko dikhenge
lahrate hue chabuk aur jhuki hui pithon par
ubharti hui dhariyan in dhariyon mein
kyonki jaj sahab ke pas bhi to
hogi ek mez
aur us par bichha hoga mezposh
स्रोत :
पुस्तक : समुद्र पर हो रही है बारिश (पृष्ठ 22)
रचनाकार : नरेश सक्सेना
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.