एक शाम निरभ्र आकाश की ओर
मुँह किए लेटा हुआ मैं सोच रहा था
कि मनुष्य के प्रबुद्ध होने का
प्रमाण क्या हो सकता है?
आख़िर कोई तो होगा जो गवाही देगा!
तभी एक टिटहरी अपनी भाषा में
उत्सव मनाते हुए मेरे ऊपर से निकल गई।
पास के शिरीष पर एक कौए ने अँगड़ाई ली
और अपनी भाषा में अपनी बात कह दी।
मैंने देखा कि एक कोयल
जिसे सुनने वाला कोई नहीं
वह आधी रात से लगातार
अपनी बात कहे जा रही है
मैं सकपकाया!
पार्क में मेरे समानांतर बैठी
एक कुतिया ने मुझे देखा
जैसे मेरी हालत भाँप ली हो
और पूछ रही हो—
तुम इतने मौन क्यों हो?
तुम्हारी भाषा क्या है...? कविवर!
मैं उठा और बेंच पर बैठ गया
और अपनी अकड़ी हुई जीभ के बारे में
सोचते हुए बुदबुदाया!
आख़िर मेरी भाषा क्या है?
ek sham nirabhr akash ki or
munh kiye leta hua main soch raha tha
ki manushya ke prabuddh hone ka
praman kya ho sakta hai?
akhir koi to hoga jo gawahi dega!
tabhi ek titahri apni bhasha mein
utsaw manate hue mere upar se nikal gai
pas ke shirish par ek kaue ne angDai li
aur apni bhasha mein apni baat kah di
mainne dekha ki ek koel
jise sunne wala koi nahin
wo aadhi raat se lagatar
apni baat kahe ja rahi hai
main sakapkaya!
park mein mere samanantar baithi
ek kutiya ne mujhe dekha
jaise meri haalat bhanp li ho
aur poochh rahi ho—
tum itne maun kyon ho?
tumhari bhasha kya hai ? kawiwar!
main utha aur bench par baith gaya
aur apni akDi hui jeebh ke bare mein
sochte hue budabudaya!
akhir meri bhasha kya hai?
ek sham nirabhr akash ki or
munh kiye leta hua main soch raha tha
ki manushya ke prabuddh hone ka
praman kya ho sakta hai?
akhir koi to hoga jo gawahi dega!
tabhi ek titahri apni bhasha mein
utsaw manate hue mere upar se nikal gai
pas ke shirish par ek kaue ne angDai li
aur apni bhasha mein apni baat kah di
mainne dekha ki ek koel
jise sunne wala koi nahin
wo aadhi raat se lagatar
apni baat kahe ja rahi hai
main sakapkaya!
park mein mere samanantar baithi
ek kutiya ne mujhe dekha
jaise meri haalat bhanp li ho
aur poochh rahi ho—
tum itne maun kyon ho?
tumhari bhasha kya hai ? kawiwar!
main utha aur bench par baith gaya
aur apni akDi hui jeebh ke bare mein
sochte hue budabudaya!
akhir meri bhasha kya hai?
स्रोत :
रचनाकार : पंकज प्रखर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.