मेरे समय में
जब तापमान के बढ़ने भर से
जल रहा हो सारा का सारा जंगल
जल रहे हो अभी अभी जन्मे छौने
मेरे समय में
जब तापमान के घटने भर से
पत्थर हो जाती हों नदियाँ
ज़मीन बन जाती हो क़ब्र
मेरे आस-पास के लोग
नागरिक बने रहने का ख़्वाब देखते हैं
मेरे द्वारा चुनी गई सरकार
अपनी उदारता का डंका पीट रही होती है
एक रंग जिसे देखा है सदियों से
मेरे पुरखों की आँखों ने
जिसकी अंतिम निशानी
मैं अपने साथ लिए जाऊँगा मिट्टी में
पिछली रात मिटा दी गई
और रोते रहे चौराहे पर कुत्ते
मेरे पड़ोस के एक तरफ़
बहती है गंगा
जबकि दूसरी तरफ़
बहती है यमुना
मेरी बेटी कहती है
'इस ओर के घर
उस ओर के घर से
बिल्कुल मिलते-जुलते हैं
हम थहाते हुए पानी के बीच से
करेंगे आवाजाही
हम पुल के सहारे नहीं
एक-दूसरे तक पहुँचेंगे
अपने-अपने पाँवों के सहारे
रेत और नमी को महसूसते हुए'
यह सब सुनते हुए मैं जैसे नींद में हूँ
जब आँखें खुलेंगी
सामने वही लंबा पुल दिखाई देगा
मेरे जन्म के ठीक बाद
बँटवारे की दीवार ने
चलाई थी कुल्हाड़ी एक फलदार वृक्ष पर
कि जिसके बाद हर मौसम में
बिलखते रहे बच्चे
और उदास होती रही दुपहरी
मेरे होश सँभालते ही
आरी से रेत दिया गया था
पड़ोस का पीपल
कि जिसके बाद हमने सुग्गे को
हमेशा पिंजरे में ही देखा
बाक़ी बचे पक्षी किधर गए
आज तक नहीं जान पाया
मुझे हमेशा लगता रहा
कि किसी रोज़ सूरज उगेगा
मेरे समय में
जबकि मैं दिन भर सोया था
यह सूरज के उगने का नहीं
डूबने का समय था
मेरे समय में!
mere samay mein
jab tapaman ke baDhne bhar se
jal raha ho sara ka sara jangal
jal rahe ho abhi abhi janme chhaune
mere samay mein
jab tapaman ke ghatne bhar se
patthar ho jati hon nadiyan
zamin ban jati ho qabr
mere aas pas ke log
nagarik bane rahne ka khwab dekhte hain
mere dwara chuni gai sarkar
apni udarta ka Danka peet rahi hoti hai
ek rang jise dekha hai sadiyon se
mere purkhon ki ankhon ne
jiski antim nishani
main apne sath liye jaunga mitti mein
pichhli raat mita di gai
aur rote rahe chaurahe par kutte
mere paDos ke ek taraf
bahti hai ganga
jabki dusri taraf
bahti hai yamuna
meri beti kahti hai
is or ke ghar
us or ke ghar se
bilkul milte julte hain
hum thahate hue pani ke beech se
karenge awajahi
hum pul ke sahare nahin
ek dusre tak pahunchenge
apne apne panwon ke sahare
ret aur nami ko mahsuste hue
ye sab sunte hue main jaise neend mein hoon
jab ankhen khulengi
samne wahi lamba pul dikhai dega
mere janm ke theek baad
bantware ki diwar ne
chalai thi kulhaDi ek phaldar wriksh par
ki jiske baad har mausam mein
bilakhte rahe bachche
aur udas hoti rahi dupahri
mere hosh sambhalte hi
ari se ret diya gaya tha
paDos ka pipal
ki jiske baad hamne sugge ko
hamesha pinjre mein hi dekha
baqi bache pakshi kidhar gaye
aj tak nahin jaan paya
mujhe hamesha lagta raha
ki kisi roz suraj ugega
mere samay mein
jabki main din bhar soya tha
ye suraj ke ugne ka nahin
Dubne ka samay tha
mere samay mein!
mere samay mein
jab tapaman ke baDhne bhar se
jal raha ho sara ka sara jangal
jal rahe ho abhi abhi janme chhaune
mere samay mein
jab tapaman ke ghatne bhar se
patthar ho jati hon nadiyan
zamin ban jati ho qabr
mere aas pas ke log
nagarik bane rahne ka khwab dekhte hain
mere dwara chuni gai sarkar
apni udarta ka Danka peet rahi hoti hai
ek rang jise dekha hai sadiyon se
mere purkhon ki ankhon ne
jiski antim nishani
main apne sath liye jaunga mitti mein
pichhli raat mita di gai
aur rote rahe chaurahe par kutte
mere paDos ke ek taraf
bahti hai ganga
jabki dusri taraf
bahti hai yamuna
meri beti kahti hai
is or ke ghar
us or ke ghar se
bilkul milte julte hain
hum thahate hue pani ke beech se
karenge awajahi
hum pul ke sahare nahin
ek dusre tak pahunchenge
apne apne panwon ke sahare
ret aur nami ko mahsuste hue
ye sab sunte hue main jaise neend mein hoon
jab ankhen khulengi
samne wahi lamba pul dikhai dega
mere janm ke theek baad
bantware ki diwar ne
chalai thi kulhaDi ek phaldar wriksh par
ki jiske baad har mausam mein
bilakhte rahe bachche
aur udas hoti rahi dupahri
mere hosh sambhalte hi
ari se ret diya gaya tha
paDos ka pipal
ki jiske baad hamne sugge ko
hamesha pinjre mein hi dekha
baqi bache pakshi kidhar gaye
aj tak nahin jaan paya
mujhe hamesha lagta raha
ki kisi roz suraj ugega
mere samay mein
jabki main din bhar soya tha
ye suraj ke ugne ka nahin
Dubne ka samay tha
mere samay mein!
स्रोत :
रचनाकार : लक्ष्मण गुप्त
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.