वे घृणा करते हैं हमसे
हमारे कालेपन से
हँसते हैं, व्यंग्य करते हैं हम पर
हमारे अनगढ़पन पर कसते हैं फब्तियाँ
मज़ाक़ उड़ाते हैं हमारी भाषा का
हमारे चाल-चलन रीति-रिवाज
कुछ पसंद नहीं उन्हें
पसंद नहीं है, हमारा पहनावा-ओढ़ावा
जंगली, असभ्य, पिछड़ा कह
हिक़ारत से देखते हैं हमें
और अपने को सभ्य श्रेष्ठ समझ
नकारते हैं हमारी चीज़ों को
वे नहीं चाहते
हमारे हाथों का छुआ पानी पीना
हमारे हाथों का बना भोजन
सहज ग्राह्य नहीं होता उन्हें
वर्जित है उनके घरों में हमारा प्रवेश
वे नहीं चाहते सीखना
हमारे बीच रहते, हमारी भाषा
चाहते हैं, उनकी भाषा सीखें हम
और उन्हीं की भाषा में बात करें उनसे
उनका तर्क है कि
सभ्य होने के लिए ज़रूरी है उनकी भाषा सीखना
उनकी तरह बोलना-बतियाना
उठना-बैठना
ज़रूरी है सभ्य होने के लिए उनकी तरह पहनना-ओढ़ना
मेरा सब कुछ अप्रिय है उनकी नज़र में
प्रिय है तो बस
मेरे पसीने से पुष्ट हुए अनाज के दाने
जंगल के फूल, फल, लकड़ियाँ
खेतों में उगी सब्ज़ियाँ
घर की मुर्ग़ियाँ
उन्हें प्रिय है
मेरी गदराई देह
मेरा मांस प्रिय है उन्हें!
we ghrina karte hain hamse
hamare kalepan se
hanste hain, wyangya karte hain hum par
hamare anagaDhpan par kaste hain phabtiyan
mazaq uDate hain hamari bhasha ka
hamare chaal chalan riti riwaj
kuch pasand nahin unhen
pasand nahin hai, hamara pahnawa oDhawa
jangli, asabhy, pichhDa kah
hiqarat se dekhte hain hamein
aur apne ko sabhy shreshth samajh
nakarte hain hamari chizon ko
we nahin chahte
hamare hathon ka chhua pani pina
hamare hathon ka bana bhojan
sahj grahy nahin hota unhen
warjit hai unke gharon mein hamara prawesh
we nahin chahte sikhna
hamare beech rahte, hamari bhasha
chahte hain, unki bhasha sikhen hum
aur unhin ki bhasha mein baat karen unse
unka tark hai ki
sabhy hone ke liye zaruri hai unki bhasha sikhna
unki tarah bolna batiyana
uthna baithna
zaruri hai sabhy hone ke liye unki tarah pahanna oDhna
mera sab kuch apriy hai unki nazar mein
priy hai to bus
mere pasine se pusht hue anaj ke dane
jangal ke phool, phal, lakDiyan
kheton mein ugi sabziyan
ghar ki murghiyan
unhen priy hai
meri gadrai deh
mera mans priy hai unhen!
we ghrina karte hain hamse
hamare kalepan se
hanste hain, wyangya karte hain hum par
hamare anagaDhpan par kaste hain phabtiyan
mazaq uDate hain hamari bhasha ka
hamare chaal chalan riti riwaj
kuch pasand nahin unhen
pasand nahin hai, hamara pahnawa oDhawa
jangli, asabhy, pichhDa kah
hiqarat se dekhte hain hamein
aur apne ko sabhy shreshth samajh
nakarte hain hamari chizon ko
we nahin chahte
hamare hathon ka chhua pani pina
hamare hathon ka bana bhojan
sahj grahy nahin hota unhen
warjit hai unke gharon mein hamara prawesh
we nahin chahte sikhna
hamare beech rahte, hamari bhasha
chahte hain, unki bhasha sikhen hum
aur unhin ki bhasha mein baat karen unse
unka tark hai ki
sabhy hone ke liye zaruri hai unki bhasha sikhna
unki tarah bolna batiyana
uthna baithna
zaruri hai sabhy hone ke liye unki tarah pahanna oDhna
mera sab kuch apriy hai unki nazar mein
priy hai to bus
mere pasine se pusht hue anaj ke dane
jangal ke phool, phal, lakDiyan
kheton mein ugi sabziyan
ghar ki murghiyan
unhen priy hai
meri gadrai deh
mera mans priy hai unhen!
स्रोत :
पुस्तक : नगाड़े की तरह बजते शब्द (पृष्ठ 72)
रचनाकार : निर्मला पुतुल
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.