मेरा इश्क़ और पुख़्ता हो रहा है
दीवारों से, तनहाई से, ख़ामोशी से।
इस प्रेम में जब ख़ामोशी चाह दे,
तो शब्द खनक उठते हैं।
तनहाई के इशारे पर
जुटती है एक मीठी-सी भीड़,
गले लगती वैचारिकी,
स्पष्ट महसूसी जा सकती है।
क्राँति के चादर बीनता दिमाग़
भजन सुनकर सुस्ता लेता है।
भजन कभी भक्ति के,
भजन कभी इश्क़िया से।
मुझ पर पुरखों का पूरा हाथ है
तभी तो भोलापन मुझे चिढ़ाता नहीं
वल्कि दे देता है अनेक कारण
जहाँ मैं मौन होकर मुस्कुरा उठती हूँ।
किताबों की अनूठी संगत,
मुझे एक पहलू लेकर
कभी विफरने नहीं देती।
मुझमें घर बनाने की जतन में
पूर्वाग्रह असफल हो चुके हैं।
गाँवों के चूल्हे की सोंधी महक,
और शहर की फ़ैक्टरी की दुर्गंध,
मुझे इतना पागल नहीं करतीं,
कि मैं कहूँ गाँव शिक्षित हो चुके हैं,
और शहरो में प्रसन्नता बसती है।
लेकिन मैं महक लेती हूँ
शहर में घुटता गाँव
और गाँव में पनपता शहर
मैं ढूँढ़ लेती हूँ,
विलायती कविताओं में लोक
और लोकगीतों में बिदेश।
मुझे नहीं आता
एक वैचारिक भुनाने के लिए
कई विचारों का मिथानुवर्तन
लेकिन मैने सीख लिया है
विचारों से काम की चीज़ें बीन लेना।
ख़ुशी मुझमें पसर कर रहती है
कष्टों में चिल्लाकर रोती है
बातों को सोचती है
कभी ख़ूब गप्पे मारती
तो कभी यकायक मौन गंभीर।
उसका खिल-खिलाकर हँसना
याद दिलाता है गंगावतरण,
उसका चुप होना आभास कराता है
किसी भोले ताँडव की व्याकुलता का।
ये ख़ुशी जानती है
कि शब्द छलावा हैं ,
लेकिन बेहद आवश्यक।
मौन शाश्वत है लेकिन
आवश्यक है मौन का टूटना।
मैं ख़ुद से इतना प्रेम करती हूँ
कि महसूसने लगी हूँ,
प्रेम में बेख़ुदी का आनंद।
और यकीन है मेरा,
इस ब्रह्मवाक्य पर :
कि जग का कोई एक ब्रह्मवाक्य है ही नहीं
यद्यपि शब्द की सीमा मौन है,
किंतु मौन का चरम है शब्द!
mera ishq aur pukhta ho raha hai
divaron se, tanhai se, khamoshi se.
is prem mein jab khamoshi chaah de,
to shabd khanak uthte hain.
tanhai ke ishare par
jutti hai ek mithi si bheeD,
gale lagti vaichariki,
aspasht mahsusi ja sakti hai.
kranti ke chadar binta dimagh
bhajan sunkar susta leta hai.
bhajan kabhi bhakti ke,
bhajan kabhi ishqiya se.
mujh par purkhon ka pura haath hai
tabhi to bholapan mujhe chiDhata nahin
valki de deta hai anek karan
jahan main maun hokar muskura uthti hoon.
kitabon ki anuthi sangat,
mujhe ek pahlu lekar
kabhi vipharne nahin deti.
mujhmen ghar banane ki jatan men
purvagrah asaphal ho chuke hain.
ganvon ke chulhe ki sondhi mahak,
aur shahr ki faiktri ki durgandh,
mujhe itna pagal nahin kartin,
ki main kahun gaanv shikshit ho chuke hain,
aur shahro mein prasannata basti hai.
lekin main mahak leti hoon
shahr mein ghutta gaanv
aur gaanv mein panapta shahr
main DhoonDh leti hoon,
vilayati kavitaon mein lok
aur lokgiton mein bidesh.
mujhe nahin aata
ek vaicharik bhunane ke liye
kai vicharon ka mithanuvartan
lekin maine seekh liya hai
vicharon se kaam ki chizen been lena.
khushi mujhmen pasar kar rahti hai
kashton mein chillakar roti hai
baton ko sochti hai
kabhi khoob gappe marti
to kabhi yakayak maun gambhir.
uska khil khilakar hansna
yaad dilata hai gangavatran,
uska chup hona abhas karata hai
kisi bhole tanDav ki vyakulta ka.
ye khushi janti hai
ki shabd chhalava hain ,
lekin behad avashyak.
maun shashvat hai lekin
avashyak hai maun ka tutna.
main khud se itna prem karti hoon
ki mahsusne lagi hoon,
prem mein bekhudi ka anand.
aur yakin hai mera,
is brahmvakya par ha
ki jag ka koi ek brahmvakya hai hi nahin
yadyapi shabd ki sima maun hai,
kintu maun ka charam hai shabd!
mera ishq aur pukhta ho raha hai
divaron se, tanhai se, khamoshi se.
is prem mein jab khamoshi chaah de,
to shabd khanak uthte hain.
tanhai ke ishare par
jutti hai ek mithi si bheeD,
gale lagti vaichariki,
aspasht mahsusi ja sakti hai.
kranti ke chadar binta dimagh
bhajan sunkar susta leta hai.
bhajan kabhi bhakti ke,
bhajan kabhi ishqiya se.
mujh par purkhon ka pura haath hai
tabhi to bholapan mujhe chiDhata nahin
valki de deta hai anek karan
jahan main maun hokar muskura uthti hoon.
kitabon ki anuthi sangat,
mujhe ek pahlu lekar
kabhi vipharne nahin deti.
mujhmen ghar banane ki jatan men
purvagrah asaphal ho chuke hain.
ganvon ke chulhe ki sondhi mahak,
aur shahr ki faiktri ki durgandh,
mujhe itna pagal nahin kartin,
ki main kahun gaanv shikshit ho chuke hain,
aur shahro mein prasannata basti hai.
lekin main mahak leti hoon
shahr mein ghutta gaanv
aur gaanv mein panapta shahr
main DhoonDh leti hoon,
vilayati kavitaon mein lok
aur lokgiton mein bidesh.
mujhe nahin aata
ek vaicharik bhunane ke liye
kai vicharon ka mithanuvartan
lekin maine seekh liya hai
vicharon se kaam ki chizen been lena.
khushi mujhmen pasar kar rahti hai
kashton mein chillakar roti hai
baton ko sochti hai
kabhi khoob gappe marti
to kabhi yakayak maun gambhir.
uska khil khilakar hansna
yaad dilata hai gangavatran,
uska chup hona abhas karata hai
kisi bhole tanDav ki vyakulta ka.
ye khushi janti hai
ki shabd chhalava hain ,
lekin behad avashyak.
maun shashvat hai lekin
avashyak hai maun ka tutna.
main khud se itna prem karti hoon
ki mahsusne lagi hoon,
prem mein bekhudi ka anand.
aur yakin hai mera,
is brahmvakya par ha
ki jag ka koi ek brahmvakya hai hi nahin
yadyapi shabd ki sima maun hai,
kintu maun ka charam hai shabd!
स्रोत :
रचनाकार : आकृति विज्ञा 'अर्पण’
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.