याद का मौसम बदल रहा है
याद अब भी आती है
लेकिन अब वो उदास नहीं करती
चुपचाप बैठी रहती है काँधे पर सर टिकाए
गुनगुनाती है मीठी धुन
मुस्कुराती है हौले से
याद ने अब सीख लिए हैं ढब
फूलों की ख़ुशबू में ढलकर महक उठने के
सुबह की किरणों में समाकर बिखर जाने
धरती के इस छोर से उस छोर तक
इंतज़ार की आहटों में नहीं रहती याद
उसने खोज निकाले हैं रास्ते
नदियों की रवानगी में ढल जाने के
फूलों के संग खिलने के
परिंदों की ऊँची उड़ान में शामिल होने के
सिरहाने जो उम्मीद की शाख रख गए थे न तुम
वो मुरझाई नहीं है अब तक
उस पर उगती रहते हैं तेरी याद के गुंचे
जाना एक क्रिया है पढ़ा था हमने
जाने के भीतर जो रह जाना है
वो तो जाना है अब
और यह जो रह जाना है
यही तो है इश्क़ की ख़ुशबू।
yaad ka mausam badal raha hai
yaad ab bhi aati hai
lekin ab wo udas nahin karti
chupchap baithi rahti hai kandhe par sar tikaye
gungunati hai mithi dhun
muskurati hai haule se
yaad ne ab seekh liye hain Dhab
phulon ki khushbu mein Dhalkar mahak uthne ke
subah ki kirnon mein samakar bikhar jane
dharti ke is chhor se us chhor tak
intzar ki ahton mein nahin rahti yaad
usne khoj nikale hain raste
nadiyon ki rawangi mein Dhal jane ke
phulon ke sang khilne ke
parindon ki unchi uDan mein shamil hone ke
sirhane jo ummid ki shakh rakh gaye the na tum
wo murjhai nahin hai ab tak
us par ugti rahte hain teri yaad ke gunche
jana ek kriya hai paDha tha hamne
jane ke bhitar jo rah jana hai
wo to jana hai ab
aur ye jo rah jana hai
yahi to hai ishq ki khushbu
yaad ka mausam badal raha hai
yaad ab bhi aati hai
lekin ab wo udas nahin karti
chupchap baithi rahti hai kandhe par sar tikaye
gungunati hai mithi dhun
muskurati hai haule se
yaad ne ab seekh liye hain Dhab
phulon ki khushbu mein Dhalkar mahak uthne ke
subah ki kirnon mein samakar bikhar jane
dharti ke is chhor se us chhor tak
intzar ki ahton mein nahin rahti yaad
usne khoj nikale hain raste
nadiyon ki rawangi mein Dhal jane ke
phulon ke sang khilne ke
parindon ki unchi uDan mein shamil hone ke
sirhane jo ummid ki shakh rakh gaye the na tum
wo murjhai nahin hai ab tak
us par ugti rahte hain teri yaad ke gunche
jana ek kriya hai paDha tha hamne
jane ke bhitar jo rah jana hai
wo to jana hai ab
aur ye jo rah jana hai
yahi to hai ishq ki khushbu
स्रोत :
रचनाकार : प्रतिभा कटियार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.