वर्तमान का रूप धारण करके जो भूत को भविष्य के साथ मिलाती
हुई सुंदर सृष्टि करती है, उस मातृत्व भावना की जय हो।
जो भोली-भाली (बालिका) बचपन में गेंद और गुड़िया के खेल में
निरत रहती थी, वह चंचला (अब) स्नेह-सिक्त मातृ-हृदय की चिंताओं का घर
बन गई है। सद्यःप्रसूत बालक को अपनी गोद में लेकर दूध पिलाती हुई वह
वधू, वात्सल्य के कारण, किसी उत्तम गौरव को प्राप्त हो गई है।
मद से मतवाली और घूमती तथा कटाक्षों से चंचल वह दृष्टि कहाँ
गई? वह साभिप्राय प्यारी मुसकराहट भी कहाँ गई? दृष्टिपात करती हुई
उस युवती की वे सब बाते कहाँ गईं?
बच्चे को गोद में लेकर जब वह स्तनपान कराती है, तब सशंकित
होकर अपनी आँखों को इधर-उधर दौड़ाती है। फिर शीघ्र ही जब उसे (बच्चे
की सुरक्षा का) विश्वास हो जाता है, तब वह प्रसन्न होकर अपनी निर्मल
सजीव दृष्टि अपने शरीर से उत्पन्न पुत्र के सिर पर, जो वात्सल्य रस से सींचा
गया है, रखती है—ऐसी वह दृष्टि देखते हुए भी कैसे स्थिर हो गई?
पति की आत्मा से प्राप्त, एक मात्र स्नेह के सार इस पुत्र को देखकर
उसने अपने चित्त से अपने किन-किन अनुभवों का स्मरण नहीं किया?
दो क्षण भी पुत्र को न देखने पर जिसकी दृष्टि एकटक रह जाती
है, ऐसी इस मुग्धा की आँखें मानो भीतर की ओर फैल गई हैं।
अतीत के स्मरण से उत्पन्न आनंद के आधिक्यवश उसने सहसा
पुत्र 'के मस्तक का चुंबन ले लिया। कोमल हथेली वाले हाथों से वह
अपने उसे बार-बार सहलाने लगी। प्रतीत होता था, मानो उसकी आत्मा का परम
सुख से संयोग हो गया है।
(उसके मुखरूपी चंद्रमा पर प्रसन्नता की यह कैसी शोभा विराज
रही है! यह आत्यंतिक स्नेह का स्रोत हृदय में कहाँ से उल्लास पैदा कर रहा है?
आश्चर्य है, अपने पुत्र के ध्यान में लीन इसकी गंभीरता की गहनता,
पहले-पहल माता बनने के कारण, कितनी असीम हो रही है!
माता के हृदय में हिमालय की गंभीरता, कमलों की सुकुमारता और
समुद्र की अगाधता स्थापित की गई है।
जिस प्रकार रात अपने को इसलिए नितांत क्षीण कर देती है कि
चंद्रमा अपनी कला अधिकाधिक प्राप्त करके अपनी सुविशद शोभा को
परिपुष्ट कर सके, उसी प्रकार माता पुत्र के लिए अपने शरीर का क्षय करती
है और इस प्रकार त्याग की एक अनुपम कहानी का निर्माण करती है।
बीज हो या फल, यह उसे कृतार्थ करती ही है। इसकी आत्मा,
प्रकृति-रूप होकर, परम त्याग की उपनिषद् बन गई है।
vartaman ka roop dharan karke jo bhoot ko bhavishya ke saath milati
hui sundar sirishti karti hai, us matritv bhavna ki jay ho.
jo bholi bhali (balika) bachpan mein ged aur guDiya ke khel mein
nirat rahti thi, wo chanchla (ab) sneh sikt matri hirdai ki chintaon ka ghar
ban gai hai. sadyaaprasut balak ko apni god mein lekar doodh pilati hui wo
vadhu, vatsaly ke karan, kisi uttam gaurav ko praapt ho gai hai.
mad se matvali aur ghumti tatha kataksho se chachal wo drishti kahan
gai wo sabhipray pyari musakrahat bhi kahan gai? drishtipat karti hui
us yuvati ki ve sab bate kahan gain?
bachche ko god mein lekar jab wo stan paan karati hai, tab sashankit
hokar apni ankhon ko idhar udhar dauDati hai. phir sheeghr hi jab use (bachche
ki suraksha ka) vishvas ho jata hai, tab wo prasann hokar apni nirmal
sajiv drishti apne sharir se utpann putr ke sir par, jo vatsaly ras se sincha
gaya hai, rakhti hai—aisi wo drishti dekhte hue bhi kaise sthir ho gai?
pati ki aatma se praapt, ek maatr sneh ke saar is putr ko dekhkar
usne apne chitt se apne kin kin anubhvon ka smarn nahin kiya?
do kshan bhi putr ko na dekhne par jiski drishti ektak rah jati
hai, aisi is mugdha ki ankhen mano bhitar ki or phail gai hain.
atit ke smarn se utpann anand ke adhikyvash usne sahsa
putr ke mastak ka chumban le liya. komal hatheli vale hathon se wo
apne use baar baar sahlane lagi. pratit hota tha, mano uski aatma ka param
sukh se sanyog ho gaya hai.
(uske mukh rupi chandarma par prasannata ki ye kaisi shobha viraj
rahi hai! ye atyantik sneh ka srot hirdai mein kahan se ullaas paida kar raha hai?
ashchary hai, apne putr ke dhyaan mein leen iski gambhirta ki gahanta,
pahle pahal mata banne ke karan, kitni asim ho rahi hai!
mata ke hirdai mein himale ki gambhirta, kamlo ki sukumarta aur
samudr ki agadhta sthapit ki gai hai.
jis prakar raat apne ko isliye nitant kshain kar deti hai ki
chandarma apni kala adhikadhik praapt karke apni suvishad shobha ko
paripusht kar sake, usi prakar mata putr ke liye apne sharir ka kshay karti
hai aur is prakar tyaag ki ek anupam kahani ka nirman karti hai.
beej ho ya phal, ye use kritarth karti hi hai. iski aatma,
prakrti roop hokar, param tyaag ki upnishad ban gai hai.

स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 695)
रचनाकार : गौरीप्रसाद चुनीलाल झाला
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.