इतिहास की क्लास में
मास्टर साहब
सबसे ताक़तवर मुल्क
सबसे ताक़तवर आदमी
सबसे ताक़तवर हथियार
पर व्याख्यान दे रहे थे
व्याख्यान में कुछ ऐसे देश थे
जो अपने हथियारों से
समूची दुनिया ख़त्म कर सकते थे
तभी एक बच्ची ने पूछा
इतने बड़े मुल्क
इतनी बड़ी दुनिया में
वो लोग कहाँ हैं
जो मोहब्बत से दुनिया बचा सकते थे?
मास्टर साहब ने
किताब के पन्ने पलटे
ऐसे लोग अनुपस्थित थे
क्यों कि ये लोग
किताबों से बाहर
इतनी बड़ी दुनिया में
महज़ दो इंच ज़मीन की तलाश में
किसी पेड़ पर टाँग दिए गए थे
और इनके प्रेमपत्र कभी नहीं पहुँच सके
मास्टर जी की क्लास तक।
itihas ki class mein
master sahab
sabse taqatwar mulk
sabse taqatwar adami
sabse taqatwar hathiyar
par wyakhyan de rahe the
wyakhyan mein kuch aise desh the
jo apne hathiyaron se
samuchi duniya khatm kar sakte the
tabhi ek bachchi ne puchha
itne baDe mulk
itni baDi duniya mein
wo log kahan hain
jo mohabbat se duniya bacha sakte the?
master sahab ne
kitab ke panne palte
aise log anupasthit the
kyon ki ye log
kitabon se bahar
itni baDi duniya mein
mahz do inch zamin ki talash mein
kisi peD par tang diye gaye the
aur inke prempatr kabhi nahin pahunch sake
master ji ki class tak
itihas ki class mein
master sahab
sabse taqatwar mulk
sabse taqatwar adami
sabse taqatwar hathiyar
par wyakhyan de rahe the
wyakhyan mein kuch aise desh the
jo apne hathiyaron se
samuchi duniya khatm kar sakte the
tabhi ek bachchi ne puchha
itne baDe mulk
itni baDi duniya mein
wo log kahan hain
jo mohabbat se duniya bacha sakte the?
master sahab ne
kitab ke panne palte
aise log anupasthit the
kyon ki ye log
kitabon se bahar
itni baDi duniya mein
mahz do inch zamin ki talash mein
kisi peD par tang diye gaye the
aur inke prempatr kabhi nahin pahunch sake
master ji ki class tak
स्रोत :
रचनाकार : आलोक आज़ाद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.