1
आँखों में काजल की सुंदर रेखा माँ ने जो दी थी
शोभित है उसमें प्रेमलता-त्रपा-पुष्प-मकरंदमयी
सब लोगों की आँख बचा उन आँखों से प्रिय की ओर
दृष्टि बढ़ाती तुमको शीघ्र तरुण मधुयामिनियाँ मिलें।
2
तेरी समवय बालाएँ और सुहागिन नारीगण
द्वार पर गाते जब पूछें 'प्रिय का नाम बताओ री!'
तब लज्जा मधु मुग्ध कंठ से बारी उनकी है कहकर
बचने वाली तेरी स्मिति चंद्रिका चिरकाल खिले।
3
विद्रुम से अरुणाधर से स्मिति आँख-मिचौनी खेल रही
मानों गुलाब की माला में कुंद के पुष्प शोभित हों,
ऐसी शोभा ले नम्र बनी पति-वसनांचल हाथ लिए
चलने वाली तुमको विनय संपदा न कभी छोड़ चले।
4
मृगमद् पंक सुगंधित वैवाहिक मधुपर्कावल में
पति को बाँध लिया है; अब वह तब आज्ञाकारी है।
तेरी बात न टाले - भाभियों का सुन यह परिहास
तीखी नज़रों से देखने वाली तुमको चिर सौख्य मिले।
5
ग्रीष्म दिवस की संध्या में फुल्ल मल्लिका शय्या शोभित
मोतियों की पालकी में बैठी तेरी जुलूस निकली
तेरी उस दिन की शोभा हम कैसे भूल सकेंगे
जब तक तारों वाले रथ पर चाँद निकलना हमें मिलें?
ankhon mein kajal ki sundar rekha maan ne jo di thi
shobhit hai usmen premalta trapa pushp makrandamyi.
sab logon ki ankh bacha un ankhon se priy ki or
drishti baDhati tumko sheeghr tarun madhuyaminiyan milen॥
teri samvay balayen aur suhagin narigan
dvaar par gate jab puchhen priy ka naam batao ree!
tab lajja madhu mugdh kanth se bari unki hai kahkar
bachnevali teri smiti chandrika chirkal khile॥
vidrum se arunadhar se smiti ankh michauni khel rahi
manon gulab ki mala mein kund ke pushp shobhit hon,
aisi shobha le namr bani pati vasnanchal haath liye
chalnevali tumko vinay sampada na kabhi chhoD chale॥
mrigmad pank sugandhit vaivahik madhupakval mein
pati ko baandh liya hai; ab wo tab agyakari hai.
teri baat na tale bhabhiyon ka sun ye parihas
tikhi nazron se dekhnevali tumko chir saukhy mile॥
greeshm divas ki sandhya mein phull mallika ya shobhit
motiyon ki palaki mein baithi teri julum nikli
teri us din ki shobha hum kaise bhool sakenge
jab tak taronvale rath par chaand nikalna hamein milen?

स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक तेलुगु कविता प्रथम भाग (पृष्ठ 137)
संपादक : चावलि सूर्यनारायण मूर्ति
रचनाकार : कॉडालि आंजनेयुलु
प्रकाशन : आंध्र प्रदेश साहित्य अकादेमी
संस्करण : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.