यह मौसम, तेरी नींद के रास्ते में खड़ा है
तेरी मार खाई अधमरी देह और रिसते ज़ख़्म
तेरी नींद के रास्ते में अड़े हैं।
हालाँकि यह तंग गली तेरी जन्मभूमि है और
घूरे का वह कोना, तेरी मातृभूमि है और
इतिहास में तू समकालीन है बहुत बड़े लोगों का
फिर भी तू कुकियाता है बेतरह
अपने रोने से नींद लेती दुनिया पर क्यों भेजता है लानत
सो जा कि यह रात है बेरहम
लेकिन पेड़ों ने गिराए हैं पत्ते
घुसकर सो जा उन्हीं के ढेर में
तेरी नींद की हिफ़ाज़त में
पिता की तरह खड़े होंगे पेड़
जाड़े-पाले और बारिश के ख़िलाफ़
सो जा कि दुनिया से जा चुकी हैं लोरियाँ
और वह चाँद, पीले सिक्के की तरह
गिर रहा है झील में
सो जा कि लोग अब भी छोड़ देते हैं जूठन
बच्चे नहीं खाते अपने हिस्से का पूरा भाग
पाले में पेड़ों से टपक पड़ती हैं चिड़ियाँ, तेरी भूख में
सो जा और मत भौंक
दबे पाँव जा रही बलाओं पर
मत भौंक ज़रा-ज़रा-सी आहटों पर
मत बजा पहरा, फोकट में
सो जा कि कल उठेगी रसोई से गंध
और भरे होंगे मुसाफ़िरख़ाने
लोग तापेंगे आग गोल घेरों में
फिर लगाना चक्कर इनके आस-पास
फिर अपनी दोस्ती का वास्ता देकर हिलाना पूँछ
फ़िलवक़्त डूबकर सो जा, जूठन के सपनों में
कि नींद पूरी नहीं पड़ रही सबके हिस्से में।
ye mausam, teri neend ke raste mein khaDa hai
teri mar khai adhamri deh aur riste zakhm
teri neend ke raste mein aDe hain
halanki ye tang gali teri janmabhumi hai aur
ghure ka wo kona, teri matribhumi hai aur
itihas mein tu samkalin hai bahut baDe logon ka
phir bhi tu kukiyata hai betarah
apne rone se neend leti duniya par kyon bhejta hai lanat
so ja ki ye raat hai beraham
lekin peDon ne giraye hain patte
ghuskar so ja unhin ke Dher mein
teri neend ki hifazat mein
pita ki tarah khaDe honge peD
jaDe pale aur barish ke khilaf
so ja ki duniya se ja chuki hain loriyan
aur wo chand, pile sikke ki tarah
gir raha hai jheel mein
so ja ki log ab bhi chhoD dete hain juthan
bachche nahin khate apne hisse ka pura bhag
pale mein peDon se tapak paDti hain chiDiyan, teri bhookh mein
so ja aur mat bhaunk
dabe panw ja rahi balaon par
mat bhaunk zara zara si ahton par
mat baja pahra, phokat mein
so ja ki kal uthegi rasoi se gandh
aur bhare honge musafirkhane
log tapenge aag gol gheron mein
phir lagana chakkar inke aas pas
phir apni dosti ka wasta dekar hilana poonchh
filwaqt Dubkar so ja, juthan ke sapnon mein
ki neend puri nahin paD rahi sabke hisse mein

स्रोत :
पुस्तक : एक अनाम कवि की कविताएँ (पृष्ठ 150)
संपादक : दूधनाथ सिंह
रचनाकार : अनाम कवि
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.