मनुष्य और दूसरे जीव-जानवरों के पगफेरे में
यही आदिम फ़र्क़ होता है कि
मनुष्य जिस रुझान की ओर अपने क़दम बढ़ाता है
उस दिशा के दरख़्तों की रंगत बदल जाती है,
पक्षियों की बोली को मिल जाते हैं नए बोल
पाँव-पाँव आती अनथकी पीढ़ियों की हलचल
जूझते जीवन में नई आस बँधाती है!
उसकी अगवानी में पाँव सीख लेते हैं
अपनी पंगत में चलना और दूसरे हिंसक जीव
ऊँचे पर्वतों में खोज लेते हैं एकांत निर्भय आसरा—
दानिशमंद आगीवान एक मर्यादा बाँध देते हैं
क़ुदरत के उलझे क्रिया-कलाप की!
निर्जन जंगल में रास्ता एक आश्वस्ति देता है—
जीव-पक्षियों का कलरव यह धीरज बँधाता है कि
क़रीब ही कहीं मनुजों की बस्ती है
हिलोरें खाते समंदर के ख़ाली आसमान में
उड़ते पक्षी का होना, क्या मायने रखता है
उसे एक भटके नाविक से बेहतर कौन समझेगा।
अँधेरे में चक्कर खाती दीठ को
जब दीख जाती है उजास की
एक हल्की-सी उम्मीद / संकोच में दबी ऊर्जा को
नया मार्ग मिल जाता है / अंतस् के साध्य का,
और यही साध्य सजीवन कर देती है / समूची सृष्टि!
मनुष्य और दूसरे जीव-जानवरों के पगफेरे में
यही तो बुनियादी फ़र्क़ होता है!
manushya aur dusre jeew janawron ke pagphere mein
yahi aadim farq hota hai ki
manushya jis rujhan ki or apne qadam baDhata hai
us disha ke darakhton ki rangat badal jati hai,
pakshiyon ki boli ko mil jate hain nae bol
panw panw aati anathki piDhiyon ki halchal
jujhte jiwan mein nai aas bandhati hai!
uski agwani mein panw seekh lete hain
apni pangat mein chalna aur dusre hinsak jeew
unche parwton mein khoj lete hain ekant nirbhay asra—
danishmand agiwan ek maryada bandh dete hain
qudrat ke uljhe kriya kalap kee!
nirjan jangal mein rasta ek ashwasti deta hai—
jeew pakshiyon ka kalraw ye dhiraj bandhata hai ki
qarib hi kahin manujon ki basti hai
hiloren khate samandar ke khali asman mein
uDte pakshi ka hona, kya mayne rakhta hai
use ek bhatke nawik se behtar kaun samjhega
andhere mein chakkar khati deeth ko
jab deekh jati hai ujas ki
ek halki si ummid / sankoch mein dabi urja ko
naya marg mil jata hai / antas ke sadhy ka,
aur yahi sadhy sajiwan kar deti hai / samuchi sirishti!
manushya auk dusre jeew janawron ka pagphere mein
yahi to buniyadi farq hota hai!

स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक भारतीय कविता संचयन राजस्थानी (1950-2010) (पृष्ठ 85)
रचनाकार : नंद भारद्वाज
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.