हे प्रभु!
हे नववर्ष मन्मथ!
इस नव वर्षारंभ के उत्सवों में
हमारे मनोरथ जब मधु मार्ग पर अग्रसर होते हैं,
तब प्रेम के साथ हम तुम्हारा आमंत्रण कर रहे हैं।
आओ न!
सरोवर की लहरों रूपी शीतल शय्याओं पर
झूमने वाले कमलों को भ्रमर-कन्याएँ
इस उष:काल में मंगलकारी काकली ध्वनियों से जगा रही है।
रसालों के अरुण पल्लव समूह
चारों दिशाओं में सुगंध फैलाते हैं
और इस समय मदमाते कोकिल
अपने मधुर कंठों से कलनाद की वर्षा
करते हुए झूम रहे हैं।
वन नटी के चरणों में जूही के फूल
ऐसी शोभा दे रहे हैं, मानो नवनीत के घुँघरू हों।
अशोक-पुष्पों से शोभित पृथ्वी पर
चैत्र पर्व के रसमय भोजन से आलसी बने हुए शुकों की
श्रुतिमधुर ध्वनियाँ
सरल कोमलता के साथ सुनाई दे रही है।
he prabhu!
he navvarsh manmath!
is nav varsharambh ke utsvon mein
hamare manorath jab madhu maarg par agrasar hote hain,
tab prem saath hum tumhara amantran kar rahe hain.
aao na.
sarovar ki lahron rupi shital shayyaon par
jhumne vale kamlon ko bhramar kanyayen
is ushahkal mae mangalkari kakali dhvaniyon se jaga rahi hai
salon ke arun pallav samuh
charon dishaon mein sugandh phailate hain
aur is samay madmate kokil
apne madhur kanthon se kalnad ki varsha
karte hue jhoom rahe hain.
van nati ke charnon mein juhi ke phool
aisi shobha de rahe hain, mano navanit ke ghunghru ho.
ashok pushpon se shobhit prithvi par
chaitr parv ke rasmay bhojan se aalsi bane hue shukon ki
shrutimdhur dhvaniyan
saral komalta ke saath sunai de rahi hai.

स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 429)
रचनाकार : रायप्रोलु वेंकट सुब्बाराव
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.