वो मेरी माँ थी जो कहावतों में मौजूद थी,
मेरा बाप कहावतों से नदारद था!
‘‘अंधी पीस रही है, कुत्ते खा रहे हैं!’’
लेकिन मेरी माँ अंधी नहीं थी,
बस कम दिखाई देता था और
उससे भी कम मुझे दिखाई देते रहे
समूची उम्र माँ के दुख!
‘‘ग़रीब की लुगाई, गाँव की लुगाई’’
में बाप होकर भी नहीं मौजूद थे,
उसमें भी अदृश्य तौर पर माँ थीं!
और नहीं लिखा था बाप के आगे ग़रीब!
और एक दिन
मेरा बहनोई भी घसीट लाया गया कहावत में,
वो होना जो ना होने के बराबर था,
रांड के जमाई में चला आया,
माँ दामाद के चक्कर में जीवित गाली घोषित हो गई!
मैं जो अलग-थलग महसूस करता था ख़ुद को,
कवि होने के दंभ में मदमस्त,
मुझे भी ‘रंडी का जना’ कहकर पुकारा गया तो,
माँ रो दी
और बाप मंद-मंद मुस्कान दबाए
अपने किए गए कार्य की
जीवित परिणिति को देखकर कुछ न बोले
वो मेरी माँ थी
जिसे किसी पुस्तक में,
किसी ग्रंथ में लाने की बजाय,
समूचा विश्व कहावतों में ले आया!
सड़क पर किसी ने कहा
हवस का खोपड़ा और रंडी का भोसड़ा कभी ना भरा,
मेरी माँ को उघाड़कर रख दिया गया,
तमाम समीकरणों के परे एक जुमले में
पश्चिमी उत्तर प्रदेश के किसी वैज्ञानिक ने
नहीं नकारा ये सिद्धांत!
बचपन से जवानी तक आते हुए,
कहावतें सुनी और माँ हर कहावत में थी,
वो माँ जो कभी फाटक से बाहर ना गई,
वो हर कहावत में रही!
एक दिन कहीं आ गई अफ़्रीकी कहावत सामने—
‘‘औरत शैतान को भी धोखा दे सकती है!’’
मैं विस्मित था कि माँ ने अफ़्रीका की यात्रा कब की,
महाद्वीप पार मेरी माँ एक कहावत में थी!
मैंने तब जाना,
मेरी माँ ने तमाम उम्र उन शैतानों को धोखा दिया,
जो कहावतें रचते थे,
माँ शैतान नहीं थी,
माँ एक कहावत थी,
जिसने मुझे दूध पिलाया
और माँ अक्सर कहती थी—
‘‘औरत की ज़बान हड्डियाँ तोड़ देती है!’’
पिछले कुछ मिनटों से वो यहीं थी,
और
माँ ने आप सब की हड्डियाँ तोड़ दी हैं!
wo meri man thi jo kahawton mein maujud thi,
mera bap kahawton se nadarad tha!
‘‘andhi pees rahi hai, kutte kha rahe hain!’’
lekin meri man andhi nahin thi,
bus kam dikhai deta tha aur
usse bhi kam mujhe dikhai dete rahe
samuchi umr man ke dukh!
‘‘gharib ki lugai, ganw ki lugai’’
mein bap hokar bhi nahin maujud the,
usmen bhi adrshy taur par man theen!
aur nahin likha tha bap ke aage gharib!
aur ek din
mera bahnoi bhi ghasit laya gaya kahawat mein,
wo hona jo na hone ke barabar tha,
ranD ke jamai mein chala aaya,
man damad ke chakkar mein jiwit gali ghoshait ho gai!
main jo alag thalag mahsus karta tha khu ko,
kawi hone ke dambh mein madmast,
mujhe bhi ‘ranDi ka jana’ kahkar pukara gaya to,
man ro di
aur bap mand mand muskan dabaye
apne kiye gaye kary ki
jiwit pariniti ko dekhkar kuch na bole
wo meri man thi
jise kisi pustak mein,
kisi granth mein lane ki bajay,
samucha wishw kahawton mein le aaya!
saDak par kisi ne kaha
hawas ka khopaDa aur ranDi ka bhosDa kabhi na bhara,
meri man ko ughaDkar rakh diya gaya,
tamam samikarnon ke pare ek jumle mein
pashchimi uttar pardesh ke kisi waigyanik ne
nahin nakara ye siddhant!
bachpan se jawani tak aate hue,
kahawten suni aur man har kahawat mein thi,
wo man jo kabhi phatak se bahar na gai,
wo har kahawat mein rahi!
ek din kahin aa gai afriki kahawat samne—
‘‘aurat shaitan ko bhi dhokha de sakti hai!’’
main wismit tha ki man ne afrika ki yatra kab ki,
mahadwip par meri man ek kahawat mein thee!
mainne tab jana,
meri man ne tamam umr un shaitanon ko dhokha diya,
jo kahawten rachte the,
man shaitan nahin thi,
man ek kahawat thi,
jisne mujhe doodh pilaya
aur man aksar kahti thee—
‘‘aurat ki zaban haDDiyan toD deti hai!’’
pichhle kuch minton se wo yahin thi,
aur
man ne aap sab ki haDDiyan toD di hain!
wo meri man thi jo kahawton mein maujud thi,
mera bap kahawton se nadarad tha!
‘‘andhi pees rahi hai, kutte kha rahe hain!’’
lekin meri man andhi nahin thi,
bus kam dikhai deta tha aur
usse bhi kam mujhe dikhai dete rahe
samuchi umr man ke dukh!
‘‘gharib ki lugai, ganw ki lugai’’
mein bap hokar bhi nahin maujud the,
usmen bhi adrshy taur par man theen!
aur nahin likha tha bap ke aage gharib!
aur ek din
mera bahnoi bhi ghasit laya gaya kahawat mein,
wo hona jo na hone ke barabar tha,
ranD ke jamai mein chala aaya,
man damad ke chakkar mein jiwit gali ghoshait ho gai!
main jo alag thalag mahsus karta tha khu ko,
kawi hone ke dambh mein madmast,
mujhe bhi ‘ranDi ka jana’ kahkar pukara gaya to,
man ro di
aur bap mand mand muskan dabaye
apne kiye gaye kary ki
jiwit pariniti ko dekhkar kuch na bole
wo meri man thi
jise kisi pustak mein,
kisi granth mein lane ki bajay,
samucha wishw kahawton mein le aaya!
saDak par kisi ne kaha
hawas ka khopaDa aur ranDi ka bhosDa kabhi na bhara,
meri man ko ughaDkar rakh diya gaya,
tamam samikarnon ke pare ek jumle mein
pashchimi uttar pardesh ke kisi waigyanik ne
nahin nakara ye siddhant!
bachpan se jawani tak aate hue,
kahawten suni aur man har kahawat mein thi,
wo man jo kabhi phatak se bahar na gai,
wo har kahawat mein rahi!
ek din kahin aa gai afriki kahawat samne—
‘‘aurat shaitan ko bhi dhokha de sakti hai!’’
main wismit tha ki man ne afrika ki yatra kab ki,
mahadwip par meri man ek kahawat mein thee!
mainne tab jana,
meri man ne tamam umr un shaitanon ko dhokha diya,
jo kahawten rachte the,
man shaitan nahin thi,
man ek kahawat thi,
jisne mujhe doodh pilaya
aur man aksar kahti thee—
‘‘aurat ki zaban haDDiyan toD deti hai!’’
pichhle kuch minton se wo yahin thi,
aur
man ne aap sab ki haDDiyan toD di hain!
स्रोत :
रचनाकार : ज़ुबैर सैफ़ी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.