वे दिन बहुत दूर हो गए हैं
जब माँ के बिना परसे
पेट भरता ही नहीं था
वे दिन अथाह कुएँ में छूट कर गिरी
पीतल की चमकदार बाल्टी की तरह
अभी भी दबे हैं शायद कहीं गहरे
फिर वो दिन आए
जब माँ की मौजूदगी में
कौर निगलना तक दुश्वार होने लगा था
जबकि वह अपने सबस छोटे और बेकार बेटे के लिए
घी की कटोरी लेना कभी नहीं भूलती थी
उसने कभी नहीं पूछा
कि मैं दिन भर कहाँ भटकता रहता था
और अपने पान-तंबाकू के पैसे
कहाँ से जुटाता था
अक्सर परोसते वक़्त वह
अधिक सदय होकर
मुझसे बार-बार पूछती होती
और थाली में झुकी गर्दन के साथ
मैं रोटी के टुकड़े चबाने की
अपनी ही आवाज़ सुनता रहता।
वह मेरी भूख और प्यास को
रत्ती-रत्ती पहचानती थी
और मेरे अक्सर अधपेट खाए उठने पर
बाद में जूठे बर्तन अबेरते
चौके में अकेले बड़बड़ाती रहती थी
बरामदे में छिपाकर
मेरे कान उसके हर शब्द को लपक लेते थे
और आख़िर में उसका भगवान के लिए बड़बड़ाना
सबसे ख़ौफ़नाक सिद्ध होता
और तब मैं दरवाज़ा खोल
देर रात तक के लिए सड़क के
एकांत और अँधेरे को समर्पित हो जाता
अब ये दिन भी भी उसी कुएँ में
लोहे की वज़नी बाल्टी की तरह पड़े होंगे
अपनी बीवी-बच्चों के साथ खाते हुए
अब खाने की वैसी राहत और बेचैनी
दोनों ही ग़ायब हो गई है
अब सब अपनी-अपनी ज़िम्मेदारी से खाते हैं
और दूसरे के खाने के बारे में एकदम निश्चिंत रहते हैं
फिर भी कभी-कभार मेथी की भाजी या बेसन होने पर
मेरी भूख और प्यास को रत्ती-रत्ती टोहती
उसकी दृष्टि और आवाज़ तैरने लगती है
और फिर मैं पानी की मदद से
खाना गिटक कर कुछ देर के लिए
उसी कुएँ में डूबी
उन्हीं बाल्टियों को ढूँढ़ता रहता हूँ।
we din bahut door ho gaye hain
jab man ke bina parse
pet bharta hi nahin tha
we din athah kuen mein chhoot kar giri
pital ki chamakdar balti ki tarah
abhi bhi dabe hain shayad kahin gahre
phir wo din aaye
jab man ki maujudgi mein
kaur nigalna tak dushwar hone laga tha
jabki wo apne sabas chhote aur bekar bete ke liye
ghi ki katori lena kabhi nahin bhulti thi
usne kabhi nahin puchha
ki main din bhar kahan bhatakta rahta tha
aur apne pan tambaku ke paise
kahan se jutata tha
aksar paroste waqt wo
adhik saday hokar
mujhse bar bar puchhti hoti
aur thali mein jhuki gardan ke sath
main roti ke tukDe chabane ki
apni hi awaz sunta rahta
wo meri bhookh aur pyas ko
ratti ratti pahchanti thi
aur mere aksar adhpet khaye uthne par
baad mein juthe bartan aberte
chauke mein akele baDbaDati rahti thi
baramde mein chhipakar
mere kan uske har shabd ko lapak lete the
aur akhir mein uska bhagwan ke liye baDbaDana
sabse khaufnak siddh hota
aur tab main darwaza khol
der raat tak ke liye saDak ke
ekant aur andhere ko samarpit ho jata
ab ye din bhi bhi usi kuen mein
lohe ki wazni balti ki tarah paDe honge
apni biwi bachchon ke sath khate hue
ab khane ki waisi rahat aur bechaini
donon hi ghayab ho gai hai
ab sab apni apni zimmedari se khate hain
aur dusre ke khane ke bare mein ekdam nishchint rahte hain
phir bhi kabhi kabhar methi ki bhaji ya besan hone par
meri bhookh aur pyas ko ratti ratti tohti
uski drishti aur awaz tairne lagti hai
aur phir main pani ki madad se
khana gitak kar kuch der ke liye
usi kuen mein Dubi
unhin baltiyon ko DhunDhata rahta hoon
we din bahut door ho gaye hain
jab man ke bina parse
pet bharta hi nahin tha
we din athah kuen mein chhoot kar giri
pital ki chamakdar balti ki tarah
abhi bhi dabe hain shayad kahin gahre
phir wo din aaye
jab man ki maujudgi mein
kaur nigalna tak dushwar hone laga tha
jabki wo apne sabas chhote aur bekar bete ke liye
ghi ki katori lena kabhi nahin bhulti thi
usne kabhi nahin puchha
ki main din bhar kahan bhatakta rahta tha
aur apne pan tambaku ke paise
kahan se jutata tha
aksar paroste waqt wo
adhik saday hokar
mujhse bar bar puchhti hoti
aur thali mein jhuki gardan ke sath
main roti ke tukDe chabane ki
apni hi awaz sunta rahta
wo meri bhookh aur pyas ko
ratti ratti pahchanti thi
aur mere aksar adhpet khaye uthne par
baad mein juthe bartan aberte
chauke mein akele baDbaDati rahti thi
baramde mein chhipakar
mere kan uske har shabd ko lapak lete the
aur akhir mein uska bhagwan ke liye baDbaDana
sabse khaufnak siddh hota
aur tab main darwaza khol
der raat tak ke liye saDak ke
ekant aur andhere ko samarpit ho jata
ab ye din bhi bhi usi kuen mein
lohe ki wazni balti ki tarah paDe honge
apni biwi bachchon ke sath khate hue
ab khane ki waisi rahat aur bechaini
donon hi ghayab ho gai hai
ab sab apni apni zimmedari se khate hain
aur dusre ke khane ke bare mein ekdam nishchint rahte hain
phir bhi kabhi kabhar methi ki bhaji ya besan hone par
meri bhookh aur pyas ko ratti ratti tohti
uski drishti aur awaz tairne lagti hai
aur phir main pani ki madad se
khana gitak kar kuch der ke liye
usi kuen mein Dubi
unhin baltiyon ko DhunDhata rahta hoon
स्रोत :
पुस्तक : जहाँ थोड़ा-सा सूर्योदय होगा (पृष्ठ 43)
रचनाकार : चंद्रकांत देवताले
प्रकाशन : संवाद प्रकाशन
संस्करण : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.