1. एक रम्य भवन के बरामदे में, मध्याह्न के समय, एक कोमल-कंठी वेश्या-कुमारी आनंद के साथ रामायण पढ़ रही थी। उसे सुनने के लिए मानो भगवान् भास्कर आकाश में निश्चल खड़े हो गए।
2. उस सुंदरी के मुख-चंद्र से निकला हुआ ऋषिकाव्य-रूपी अमृत घोर मध्याह्न के आतप को भी शीतल चन्द्रिका-श्री बनाता हुआ उस प्रासाद के प्रांगण में प्रवाहित हो रहा था।
3. उस बालिका की बूढ़ी नानी पास के ही एक पलंग पर आलस्य के साथ एक करवट, थोड़ी मुड़कर इस तरह पड़ी हुई थी मानो पंचशर का टूटा हुआ धनुष पड़ा हो।
4. वह कन्या सहसा रामायण-पठन छोड़कर अपने दीर्घायत नयनों को मूंदकर किसी विचार में डूब गई और उसके कंचन कपोलों पर पुलकांकुर प्रस्फुटित हो उठे।
5. जिस उपवन में पालतू हरिणी गाना सुनने की कामना से कान खड़े किए खड़ी थी उसके दीर्घ निःश्वास ने मंद पवन के झोंके के रूप में आकर अलकावली से अलंकृत उस बालिका के सुंदर ललाट को धीरे से चूम लिया।
6. पिता की सत्य-रक्षा के लिए सर्वस्व त्यागकर निकले हुए पति का अनुगमन करके उत्तप्त कानन-भूमि को ही जिसने चिरकाल तक हरित मृदुल शय्या के समान बनाए रक्खा, कितना भी कष्ट देने पर जिसके सुदृढ़ हृदय को हिलाने के लिए कैलाश पर्वत को गेंद बनाकर खेलने वाले 20 हाथों में शक्ति नहीं रही, जिसके चारित्र्य-तेज़ से ज्वालामयी अग्नि भी ठंडी पड़ गई, और जिसके समान विशुद्ध रत्न इस भारत-भूमि के गर्भ से दूसरा उत्पन्न नहीं हुआ, मन से मैथिली बनकर वह कन्या, गृह में और वन में एक समान, रामचंद्र-जैसे किसी भद्र पुरुष की पत्नी के रूप में अपने मनोराज्य में विचरण करने लगी।
7. परंतु वह नानी इस मनोराज्य-विहार में बाधक बन गई। “क्या आज इतनी जल्दी पारायण पूरा हो गया?” यह कहकर उसने अपनी दौहित्री को उस कल्पना-लोक से नीचे उतार लिया।
8. तब उस सत्पथान्वेषिणी कन्या ने अपना मनोरथ खोलकर कह ही दिया—“काश! सीतादेवी के समान मैं भी अपना जीवन पति-प्रेम और शुद्धाचरण से पवित्र बना सकती।”
9. हे आर्षभूमि, तुम्हारी महिमा अद्भुत है। तुम्हारी रण-भूमि में भी निष्काम कर्मयोग की भेरी गूँज उठती है—निषादों की झोंपड़ियों में भी ब्रह्म-तेज़ के दर्शन होते हैं। वेश्या-वीथी में भी चारित्र्य-सौरभ फैलता है।
10. बूढ़ी हड़बड़ाकर उठ बैठी। इस दुर्विचार का अंकुर ही नोच फेंकना चाहिए। “मेरी प्यारी बेटी के लिए क्या सीता आदर्श है? मेरी रानी बेटी सीता से भी ऊँचे पद पर रहने वाली है। तुम्हारे चरण-पल्लवों में लोटने वाले एक-दो नहीं, सैकड़ों रावण आज इस भूमि पर होंगे।”
11.“मेरी दुलारी! तुम्हारी माँ ने अपने प्रयत्नों से कुटुम्ब को थोड़ा ऊँचा उठाया और फिर वह हम लोगों को छोड़कर स्वर्ग सिधार गई। अब वह अपनी पुत्री को उसे आकाश तक उठाते देखे और उसका वैभव देखकर संतोष पाए।”
12. इतना कहकर वह अपनी आँखें गीली करके तथा एक दीर्घ नि:श्वास लेकर उस बालिका के ऊपर हाथ फेरने लगी और साथ ही उसने अपने किंचित् मोटे और विवर्ण होंठों से अपने स्मृति-ग्रंथ का आख्यान भी आरंभ कर दिया।
13. हम जो वेश्या कहलाती हैं, इस भूमि की अप्सराएँ हैं। हमारे दो ही निश्चित धर्म हैं—एक मंदिरों में जाकर नृत्य करना और दूसरा पुरुषों के हृदयों को अपने चारों ओर नचाना।
14. नृत्यरूपी सेवा से नर्तकियों के मस्तक से जितने स्वेद-कण झरते हैं, ईश्वर के अनुग्रह से उतने ही सच्चे मोती के दाने उसके सामने एकत्र हो जाते हैं।
15. भगवान् की सेवा के लिए लोगों द्वारा समर्पित पुष्प हैं गणिकावृन्द। उन्हें वैदिक ब्राह्मण भी मंदिर के प्रसाद के समान सादर सिर पर धारण करता है।
16. चतुर वारांगना के लिए सभी पुरुष एक-जैसे हैं। उसके हृदय में न तो राग होता है, न द्वेष। वह सबको अपने में डुबाती है, परंतु स्वयं किसी में नहीं डूबती।
17. विनयावनत होकर उस दशकंठ के प्रार्थना करने पर भी अपनी पति-भक्ति दिखाने वाली उस बेचारी के प्रति उस महान् प्रियतम ने क्या किया? जब वह पूर्ण गर्भवती थी, उस समय उसे हिंसक पशुओं से युक्त घोर कानन में ही तो छोड़ दिया था।
18. केवल स्वार्थ को ही साधने वाले पुरुषों ने सती धर्म की यह ज़ंजीर बनाई है, जिससे वे स्त्रियों को वानरों के समान नचा सकें।
19. परंतु, मेरी प्यारी बेटी! गणिकाएँ तो उस चारित्र्य को कामदेव के जल जाने के बाद अवशेष राख ही मानती हैं। चंदन-लेपन के योग्य नव-उरोजों में बिना सोचे उस राख को उठाकर न लगा लेना!
20. इच्छानुसार सुखानुभव करने को ही जीवन कहते हैं। परंतु सती धर्म के मार्ग पर जाने से वह नहीं प्राप्त होगा। छिः! भविष्यरूपी पेड़ को खाद देने के लिए क्या वर्तमान को सड़ा दोगी?
21. किस उन्नति के लोभ से तुम इतनी संकुचित एक-पत्नीत्व नाम की सीढ़ी को खोज रही हो? तुम अपनी भ्रू-लताओं को तनिक-सा हिलाने के लिए तैयार हो जाओ तो बैकुंठ की सम्पत्ति भी तुम्हारे चरणों पर आ लोटेगी।
22. जगत्स्रष्टा का दिया हुआ आभूषण, अर्थात् शरीर-सौंदर्य जिसे नहीं मिला, वह युवती भले ही सती-व्रत को अपना अलंकार बनाए, परंतु राजा-महाराजाओं को भी ललचाने वाली मेरी चंपक वह सुगंधहीन पुष्प बनकर क्या करेगी?
1 ek ramy bhawan ke baramde mein, madhyahn ke samay, ek komal kanthi weshya kumari anand ke sath ramayan paDh rahi thi use sunne ke liye mano bhagwan bhaskar akash mein nishchal khaDe ho gaye
2 us sundri ke mukh chandr se nikla hua rishikawya rupi amrit ghor madhyahn ke aatap ko bhi shital chandrika shri banata hua us prasad ke prangan mein prwahit ho raha tha
3 us balika ki buDhi nani pas ke hi ek palang par alasy ke sath ek karwat, thoDi muDkar is tarah paDi hui thi mano panchshar ka tuta hua dhanush paDa ho
4 wo kanya sahsa ramayan pathan chhoDkar apne dirghayat naynon ko mundkar kisi wichar mein Doob gai aur uske kanchan kapolon par pulkankur prasphutit ho uthe
5 jis upwan mein paltu harini gana sunne ki kamna se kan khaDe kiye khaDi thi uske deergh niःshwas ne mand pawan ke jhonke ke roop mein aakar alkawli se alankrit us balika ke sundar lalat ko dhire se choom liya
6 pita ki saty rakhsha ke liye sarwasw tyagkar nikle hue pati ka anugman karke uttapt kanan bhumi ko hi jisne chirkal tak harit mridul shayya ke saman banaye rakkha, kitna bhi kasht dene par jiske sudriDh hirdai ko hilane ke liye kailash parwat ko gend banakar khelne wale 20 hathon mein shakti nahin rahi, jiske charitry tez se jwalamyi agni bhi thanDi paD gai, aur jiske saman wishuddh ratn is bharat bhumi ke garbh se dusra utpann nahin hua, man se maithili bankar wo kanya, grih mein aur wan mein ek saman, ramchandr jaise kisi bhadr purush ki patni ke roop mein apne manorajya mein wicharn karne lagi
7 parantu wo nani is manorajya wihar mein badhak ban gai “kya aaj itni jaldi parayan pura ho gaya?” ye kahkar usne apni dauhitri ko us kalpana lok se niche utar liya
8 tab us satpthanweshini kanya ne apna manorath kholkar kah hi diya—“kash! sitadewi ke saman main bhi apna jiwan pati prem aur shuddhachran se pawitra bana sakti ”
9 he arshbhumi, tumhari mahima adbhut hai tumhari ran bhumi mein bhi nishkam karmayog ki bheri goonj uthti hai—nishadon ki jhompaDiyon mein bhi brahm tez ke darshan hote hain weshya withi mein bhi charitry saurabh phailta hai
10 buDhi haDabDakar uth baithi is durwichar ka ankur hi noch phenkna chahiye “meri pyari beti ke liye kya sita adarsh hai? meri rani beti sita se bhi unche pad par rahne wali hai tumhare charn pallwon mein lotne wale ek do nahin, saikDon rawan aaj is bhumi par honge ”
11 “meri dulari! tumhari man ne apne pryatnon se kutumb ko thoDa uncha uthaya aur phir wo hum logon ko chhoDkar swarg sidhar gai ab wo apni putri ko use akash tak uthate dekhe aur uska waibhaw dekhkar santosh pae ”
12 itna kahkar wo apni ankhen gili karke tatha ek deergh nihashwas lekar us balika ke upar hath pherne lagi aur sath hi usne apne kinchit mote aur wiwarn honthon se apne smriti granth ka akhyan bhi arambh kar diya
13 hum jo weshya kahlati hain, is bhumi ki apsarayen hain hamare do hi nishchit dharm hain—ek mandiron mein jakar nrity karna aur dusra purushon ke hridyon ko apne charon or nachana
14 nrityrupi sewa se nartakiyon ke mastak se jitne swed kan jharte hain, ishwar ke anugrah se utne hi sachche moti ke dane uske samne ekatr ho jate hain
15 bhagwan ki sewa ke liye logon dwara samarpit pushp hain ganikawrind unhen waidik brahman bhi mandir ke parsad ke saman sadar sir par dharan karta hai
16 chatur warangna ke liye sabhi purush ek jaise hain uske hirdai mein na to rag hota hai, na dwesh wo sabko apne mein Dubati hai, parantu swayan kisi mein nahin Dubti
17 winyawanat hokar us dashkanth ke pararthna karne par bhi apni pati bhakti dikhane wali us bechari ke prati us mahan priytam ne kya kiya? jab wo poorn garbhawti thi, us samay use hinsak pashuon se yukt ghor kanan mein hi to chhoD diya tha
18 kewal swarth ko hi sadhne wale purushon ne sati dharm ki ye zanjir banai hai, jisse we striyon ko wanron ke saman nacha saken
19 parantu, meri pyari beti! ganikayen to us charitry ko kamdew ke jal jane ke baad awshesh rakh hi manti hain chandan lepan ke yogya naw urojon mein bina soche us rakh ko uthakar na laga lena!
20 ichchhanusar sukhanubhaw karne ko hi jiwan kahte hain parantu sati dharm ke marg par jane se wo nahin prapt hoga chhiः! bhawishyrupi peD ko khad dene ke liye kya wartaman ko saDa dogi?
21 kis unnati ke lobh se tum itni sankuchit ek patnitw nam ki siDhi ko khoj rahi ho? tum apni bhru lataon ko tanik sa hilane ke liye taiyar ho jao to baikunth ki sampatti bhi tumhare charnon par aa lotegi
22 jagatsrashta ka diya hua abhushan, arthat sharir saundarya jise nahin mila, wo yuwati bhale hi sati wart ko apna alankar banaye, parantu raja maharajaon ko bhi lalchane wali meri champak wo sugandhhin pushp bankar kya karegi?

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
OKAY
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
Close
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.
OKAY
You have remaining out of free content pages per year.Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.
join rekhta family!
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.