वहाँ उधर
जहाँ नवल विहग झिलमिलाते
आकाश की शाल पर
और एकदम सहसा
निश्चल सारी वृक्ष-राजि में से
एक ही लहरी गद्गद पत्ते हिलाकर आगे थिरकती है
कहीं तो भी चली जाती है
एक पुकार के अंतर पर
तालाब में जहाँ स्वच्छ बिल्लौर-जैसे
नीली-सफ़ेद कलियाँ किनारे...
ज़रा चिपटती, ज़रा खुलती हुई
और लंबी छायाएँ
भूलकर जहाँ
अँधेरी की राह में
अलसाती हैं
वहाँ उधर
पहली बार मैंने धरती देखी
रात की...
उदास, भोली,
चाँदनी में कभी अंग-अंग अलापती,
मन-मन में अँधेरे में खिलने वाली
वहाँ उधर
सहज ही जहाँ मैं बन गया
बूँद-बूँद वाले
मद, लज्जालु, घास के, शबनमी फूल
और अछोर खेतों पर की पगडंडियाँ
अपना बेपहचानापन भूलकर
चारों ओर से गीतवाहिनी बनकर आईं,
जहाँ कलिका के अंगो से छूकर
वायु नाच नाचने लगा...
दुनिया का दुनियापन फलित हुआ
वहाँ उधर
पहली बार मैंने धरती देखी
सवेरे की...
अनपेक्षित, नवोढ़ा, फुसलाने वाली, भीगी हुई,
यों ही मन में कुछ बौराने वाली
वहाँ उधर
स्तब्ध अकेला ज़रा एक बाजू में जहाँ
लाल फन वाली भीड़,
अधीर मेरा मन नापना चाहने वाला
और मरी अलक्ष्य आकाश की शुभ्र आग को
हवा बीजना बनी,
जहाँ केचुल गिराकर भुजंग बनता हूँ
प्रतिक्षण मैं अपने-आप नया—
वहाँ उधर
पहली बार मैंने धरती देखी
सीधी मध्याह्न की...
सत्त्वस्थ, विशाल,
सबके लिए ख़ुद जलने वाली
जिसकी ममता जानने से पहले
मैंने ही की,
जगाई।
vahan udhar
jahan naval vihag jhilmilate
akash ki shaal par
aur ekdam sahsa
nishchal sari vriksh raji mein se
ek hi lahri gadgad patte hilakar aage thirakti hai
kahin to bhi chali jati hai.
ek pukar ke antar par
talab mein jahan svachchh villaur jaise
aur lambi chhayayen
nili safed kaliyan kinare. . .
zara chipatti, zara khulti hui
bhulkar jahan
andheri ki raah men
alsati hain.
vahan udhar
pahli baar mainne dharti dekhi
raat ki. . .
udaas, bholi,
chandni mein kabhi ang ang alapti,
man man mein andhere mein khilne vali
vahan udhar
sahj hi jahan main ban gaya
boond boond vale
mad, lajjalu, ghaas ke, shabanmi phool
aur achhor kheton par ki pagDanDiyan
apna bepahchanapan bhulkar
charon or se gitvahini bankar ain,
jahan kalika ke ango se chhukar
vayu naach nachne laga. . .
duniya ka duniyapan phalit hua
vahan udhar
pahli baar mainne dharti dekhi
savere ki. . .
anpekshait, navoDha, phuslane vali, bhigi hui,
yon hi man mein kuch baurane vali
vahan udhar
stabdh akela zara ek baju mae jahan
laal phan vali bheeD,
abir mera man napna chahne vala
aur mari alakshy akash ki shubhr aag ko
hava bijna vani,
jahan kechul girakar bhujang banta hoon
pratikshan main apne aap naya—
vahan udhar
pahli baar mainne dharti dekhi
sidhi madhyahn ki. . .
sattvasth, vishal,
sabke liye khu jalne vali
jiski mamta janne se pahle
mainne hi ki
jagai.
vahan udhar
jahan naval vihag jhilmilate
akash ki shaal par
aur ekdam sahsa
nishchal sari vriksh raji mein se
ek hi lahri gadgad patte hilakar aage thirakti hai
kahin to bhi chali jati hai.
ek pukar ke antar par
talab mein jahan svachchh villaur jaise
aur lambi chhayayen
nili safed kaliyan kinare. . .
zara chipatti, zara khulti hui
bhulkar jahan
andheri ki raah men
alsati hain.
vahan udhar
pahli baar mainne dharti dekhi
raat ki. . .
udaas, bholi,
chandni mein kabhi ang ang alapti,
man man mein andhere mein khilne vali
vahan udhar
sahj hi jahan main ban gaya
boond boond vale
mad, lajjalu, ghaas ke, shabanmi phool
aur achhor kheton par ki pagDanDiyan
apna bepahchanapan bhulkar
charon or se gitvahini bankar ain,
jahan kalika ke ango se chhukar
vayu naach nachne laga. . .
duniya ka duniyapan phalit hua
vahan udhar
pahli baar mainne dharti dekhi
savere ki. . .
anpekshait, navoDha, phuslane vali, bhigi hui,
yon hi man mein kuch baurane vali
vahan udhar
stabdh akela zara ek baju mae jahan
laal phan vali bheeD,
abir mera man napna chahne vala
aur mari alakshy akash ki shubhr aag ko
hava bijna vani,
jahan kechul girakar bhujang banta hoon
pratikshan main apne aap naya—
vahan udhar
pahli baar mainne dharti dekhi
sidhi madhyahn ki. . .
sattvasth, vishal,
sabke liye khu jalne vali
jiski mamta janne se pahle
mainne hi ki
jagai.
स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 581)
रचनाकार : पुरूषोत्तम शिवराम रेगे
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.