खोल के किवाड़ मैं तो यूँ ही खड़ी थी
मुझे दहलीज़ ले चली बाज़ार में...
पहली दुकान पर बैठा तंबोली,
उसने खिलाया जो पान;
केसर का कत्था और चाँदनी का चूना,
ऊपर से डाला तूफ़ान;
यहाँ-वहाँ देखती मैं यूँ ही खड़ी थी
लल छींटा उड़ आया सिंगार में...
मुझे दहलीज़ ले चली बाज़ार में...
दूसरी दुकान पर बैठा व्यापारी,
व्यापारी तौले सामान,
फट से तौला मुझको आँख के तराजू में,
तौल लिया मेरा अंदाज़;
सुध-बुध खोके मैं तो यूँ ही खड़ी थी
परछाईं से टिकके सुनसान में...
मुझे दहलीज़ ले चली बाज़ार में...
तीसरी दुकान पर बैठा था धुनिया,
धुनिया सीता रजाई,
टाँके पर आकर बैठी एक तितली,
सूई में बजी शहनाई;
नाम-धाम छोड़ मैं तो यूँ ही खड़ी थी
निपट निराधार हो भनक में...
मुझे दहलीज़ ले चली बाज़ार में...
चौथी दुकान पर बैठा था रंगरेज़,
उसने जो घोला प्रकाश,
सूरज को पीसकर चूल्ही चढ़ाया,
ऊपर से उँड़ेला आकाश,
रुम्मझुम्म करती मैं तो यूँ ही खड़ी थी
अब यूँ ही खड़ी थी ख़ुमार में...
अभी अधबर खड़ी थी ख़ुमार में...
मुझे दहलीज़ ले चली...।
khol ke kiwaD main to yoon hi khaDi thi
mujhe dahliz le chali bazar mein
pahli dukan par baitha tamboli,
usne khilaya jo pan;
kesar ka kattha aur chandni ka chuna,
upar se Dala tufan;
yahan wahan dekhti main yoon hi khaDi thi
lal chhinta uD aaya singar mein
mujhe dahliz le chali bazar mein
dusri dukan par baitha wyapari,
wyapari taule saman,
phat se taula mujhko ankh ke taraju mein,
taul liya mera andaz;
sudh budh khoke main to yoon hi khaDi thi
parchhain se tikke sunsan mein
mujhe dahliz le chali bazar mein
tisri dukan par baitha tha “dhuniya,
“dhuniya sita rajai,
tanke par aakar baithi ek titli,
sui mein baji shahnai;
nam dham chhoD main to yoon hi khaDi thi
nipat giradhar ho bhanak mein
mujhe dahliz le chali bazar mein
chauthi dukan par baitha tha rangrez,
usne jo ghola parkash,
suraj ko piskar chulhi chaDhaya,
upar se unDela akash,
rummjhumm karti main to yoon hi khaDi thi
ab yoon hi khaDi thi khumar mein
abhi adhbar khaDi thi khumar mein
mujhe dahliz le chali
khol ke kiwaD main to yoon hi khaDi thi
mujhe dahliz le chali bazar mein
pahli dukan par baitha tamboli,
usne khilaya jo pan;
kesar ka kattha aur chandni ka chuna,
upar se Dala tufan;
yahan wahan dekhti main yoon hi khaDi thi
lal chhinta uD aaya singar mein
mujhe dahliz le chali bazar mein
dusri dukan par baitha wyapari,
wyapari taule saman,
phat se taula mujhko ankh ke taraju mein,
taul liya mera andaz;
sudh budh khoke main to yoon hi khaDi thi
parchhain se tikke sunsan mein
mujhe dahliz le chali bazar mein
tisri dukan par baitha tha “dhuniya,
“dhuniya sita rajai,
tanke par aakar baithi ek titli,
sui mein baji shahnai;
nam dham chhoD main to yoon hi khaDi thi
nipat giradhar ho bhanak mein
mujhe dahliz le chali bazar mein
chauthi dukan par baitha tha rangrez,
usne jo ghola parkash,
suraj ko piskar chulhi chaDhaya,
upar se unDela akash,
rummjhumm karti main to yoon hi khaDi thi
ab yoon hi khaDi thi khumar mein
abhi adhbar khaDi thi khumar mein
mujhe dahliz le chali
स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक गुजराती कविताएँ (पृष्ठ 87)
संपादक : वर्षा दास
रचनाकार : विनोद जोशी
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.