धर्म-विवाह का आधार
अगर मुद्रिकाएँ ही हैं
तब हे दुष्यंत!
मैं शकुंतला नहीं
जिसे तुम भूल जाओ
और अपनी याद दिलाने के लिए
मुद्रिका का सहारा लेना पड़े जिसे अपना निज
अपने श्वास, प्राण विस्मृत हो जाएँ
तो वस्तुओं का वास्ता…?! उफ़्फ़! कैसी तौहीन है?
यदि मुद्रिका से ही पहचानना है
तुम्हें मुझे
तब अच्छा ही है
कि तुम मुझे भूले ही रहो
मैं जनूँगी भरत
और भरत को जनने के लिए
न ही तो मैं विषण्ण होकर
मारीच ऋषि के पास पहुँचूँगी
न ही पिता कण्व के पास
मुझे तो तरस आता है
दुर्वासा ऋषि पर भी
काश! उसने स्मृतियों के रंगों का आनंद लिया होता
पर उसे स्मृतियों से कैसा प्रेम?
उसे तो अपनी भिक्षा की भूख
वर एवं श्राप के लोभ और अहंकार ही पर्याप्त है
किंतु हे दुर्वासा!
मैं तुम नहीं जो वर दूँगी या श्राप
हे पिता कण्व!
यदि (तुम्हारा) द्वार तज दिया तो वापस पाँव न धरूँगी
न ही मारीच के पास जाऊँगी
किंतु हे दुष्यंत!
यह आस तो बिल्कुल भी मत रखना
कि मुद्रिका को अपनी गवाह बना मैं
तुम्हें अपनी सुगंधियों और लाचारियों का वास्ता दूँगी
पर मैं भरत जनूँगी
जिसके लिए मछली के उदर में से मुद्रिका ढूँढ़ कर
उसके पिता को तलाशने के स्थान पर
मछलियों का निवास-गृह
समुद्र पिता ‘पानी’ दूँगी
माँ ‘धरती’ दूँगी।
dharm vivah ka adhar
agar mudrikayen hi hain
tab he dushyant!
main shakuntala nahin
jise tum bhool jao
aur apni yaad dilane ke liye
mudrika ka sahara lena paDe jise apna nij
apne shvaas, paran vismrit ho jayen
to vastuon ka vasta…?! uff! kaisi tauhin hai?
yadi mudrika se hi pahchanna hai
tumhein mujhe
tab achchha hi hai
ki tum mujhe bhule hi raho
main janungi bharat
aur bharat ko janne ke liye
na hi to main vishann hokar
marich rishi ke paas pahunchungi
na hi pita kanv ke paas
mujhe to taras aata hai
durvasa rishi par bhi
kaash! usne smritiyon ke rangon ka anand liya hota
par use smritiyon se kaisa prem?
use to apni bhiksha ki bhookh
var evan shraap ke lobh aur ahankar hi paryapt hai
kintu he durvasa!
main tum nahin jo var dungi ya shraap
he pita kanv!
yadi (tumhara) dvaar taj diya to vapas paanv na dharungi
na hi marich ke paas jaungi
kintu he dushyant!
ye aas to bilkul bhi mat rakhna
ki mudrika ko apni gavah bana main
tumhein apni sugandhiyon aur lachariyon ka vasta dungi
par main bharat janungi
jiske liye machhli ke udar mein se mudrika DhunDhakar
uske pita ko talashne ke sthaan par
machhliyon ka nivas grih
samudr pita ‘pani’ dungi
maan ‘dharti’ dungi.
dharm vivah ka adhar
agar mudrikayen hi hain
tab he dushyant!
main shakuntala nahin
jise tum bhool jao
aur apni yaad dilane ke liye
mudrika ka sahara lena paDe jise apna nij
apne shvaas, paran vismrit ho jayen
to vastuon ka vasta…?! uff! kaisi tauhin hai?
yadi mudrika se hi pahchanna hai
tumhein mujhe
tab achchha hi hai
ki tum mujhe bhule hi raho
main janungi bharat
aur bharat ko janne ke liye
na hi to main vishann hokar
marich rishi ke paas pahunchungi
na hi pita kanv ke paas
mujhe to taras aata hai
durvasa rishi par bhi
kaash! usne smritiyon ke rangon ka anand liya hota
par use smritiyon se kaisa prem?
use to apni bhiksha ki bhookh
var evan shraap ke lobh aur ahankar hi paryapt hai
kintu he durvasa!
main tum nahin jo var dungi ya shraap
he pita kanv!
yadi (tumhara) dvaar taj diya to vapas paanv na dharungi
na hi marich ke paas jaungi
kintu he dushyant!
ye aas to bilkul bhi mat rakhna
ki mudrika ko apni gavah bana main
tumhein apni sugandhiyon aur lachariyon ka vasta dungi
par main bharat janungi
jiske liye machhli ke udar mein se mudrika DhunDhakar
uske pita ko talashne ke sthaan par
machhliyon ka nivas grih
samudr pita ‘pani’ dungi
maan ‘dharti’ dungi.
स्रोत :
पुस्तक : सदानीरा
संपादक : अविनाश मिश्र
रचनाकार : वनिता
प्रकाशन : सदानीरा पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.