मुस्कानों का बोझा ढोए,
धुन में अपनी खोए-खोए
ढूँढता कुछ हर पहर हूँ।
मैं शहर हूँ।
बेमुरव्वत भीड़ में,
परछाइयों की निगहबानी,
भागता-सा हाँफता-सा
शाम कब हूँ, कब सहर हूँ,
मैं शहर हूँ।
सपनों के बाज़ारों में क्या,
ख़ूब सजीं कृत्रिम मुस्कानें,
आँखों में आँखें, बातों में बातें,
खट्टी-मीठी तानें,
नज़दीकी में एक फ़ासला,
मन ही मन में घुला ज़हर हूँ।
मैं शहर हूँ।
मन के नाज़ुक से मौसम में,
भारी-भरकम बोझ उठाए,
काग़ज़ की क़श्ती से शायद,
ख़ुद के अहसासों पर तारी,
हूँ सुकूँ या फिर कहर हूँ।
मैं शहर हूँ।
muskanon ka bojha Dhoe,
dhun mein apni khoe khoe
DhunDhta kuch har pahar hoon.
main shahr hoon.
bemuravvat bheeD mein,
parchhaiyon ki nigahbani,
bhagta sa hanphata sa
shaam kab hoon, kab sahar hoon,
main shahr hoon.
sapnon ke bazaron mein kya,
khoob sajin kritrim muskanen,
ankhon mein ankhen, baton mein baten,
khatti mithi tanen,
nazdiki mein ek fasla,
man hi man mein ghula zahr hoon.
main shahr hoon.
man ke nazuk se mausam mein,
bhari bharkam bojh uthaye,
kaghaz ki qashti se shayad,
hua hai arsa saath nibhaye,
khud ke ahsason par tari,
hoon sukun ya phir kahar hoon.
main shahr hoon.
muskanon ka bojha Dhoe,
dhun mein apni khoe khoe
DhunDhta kuch har pahar hoon.
main shahr hoon.
bemuravvat bheeD mein,
parchhaiyon ki nigahbani,
bhagta sa hanphata sa
shaam kab hoon, kab sahar hoon,
main shahr hoon.
sapnon ke bazaron mein kya,
khoob sajin kritrim muskanen,
ankhon mein ankhen, baton mein baten,
khatti mithi tanen,
nazdiki mein ek fasla,
man hi man mein ghula zahr hoon.
main shahr hoon.
man ke nazuk se mausam mein,
bhari bharkam bojh uthaye,
kaghaz ki qashti se shayad,
hua hai arsa saath nibhaye,
khud ke ahsason par tari,
hoon sukun ya phir kahar hoon.
main shahr hoon.
स्रोत :
रचनाकार : निशांत जैन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.