किसी देवता के दर पर
नहीं चढ़ाई जाऊँगी...
ना दुल्हन के जूड़े में,
न दूल्हें के सेहरे में
ना नवयुगलों की बनूँ निशानी
ना गीतों में गायी जाऊँगी...
मैं अनभिज्ञा जग की नज़रों से
नाप सकूँ रफ़्तार सड़क की
बूढ़े श्रमिकों के एंड़ी की
फटहन मैं सहलाऊँगी
इससे अच्छा क्या होगा...?
ना समय किसी का मेरे हिस्से
ना चाहेगा कोई गंध मेरी
जग से हारी एक वियोगिन
देख मुझे मुसकाएगी
इससे अच्छा क्या होगा...
इक बच्चा अनजाना
गंध रीति का भान न हो
न चिंता होगी मर्यादा की
पद जैसा अभिमान न हो
खेलेगा वो मेरे संग
इससे अच्छा क्या होगा...
फागुन के आने से पहले
पथ दमक रहा हो लाली से
लज्जा से उपर उठना है
कहें स्वयंभू काली से
बन निष्काम सुंदरी झर जाऊँ
इससे अच्छा क्या होगा...
मैं सेमर का फूल बनूँगी...
किसी देवता के दर पर
नहीं चढ़ाई जाऊँगी...
kisi devta ke dar par
nahin chaDhai jaungi. . .
na dulhan ke juDe mein,
na dulhen ke sehre men
na navayuglon ki banun nishani
na giton mein gayi jaungi. . .
main anbhigya jag ki nazron se
naap sakun raphtar saDak ki
buDhe shramikon ke enDi ki
phathan main sahlaungi
isse achchha kya hoga. . . ?
na samay kisi ka mere hisse
na chahega koi gandh meri
jag se hari ek viyogin
dekh mujhe muskayegi
isse achchha kya hoga. . .
ik bachcha anjana
gandh riti ka bhaan na ho
na chinta hogi maryada ki
pad jaisa abhiman na ho
khelega wo mere sang
isse achchha kya hoga. . .
phagun ke aane se pahle
path damak raha ho lali se
lajja se upar uthna hai
kahen svyambhu kali se
ban nishkam sundri jhar jaun
isse achchha kya hoga. . .
main semar ka phool banungi. . .
kisi devta ke dar par
nahin chaDhai jaungi. . .
kisi devta ke dar par
nahin chaDhai jaungi. . .
na dulhan ke juDe mein,
na dulhen ke sehre men
na navayuglon ki banun nishani
na giton mein gayi jaungi. . .
main anbhigya jag ki nazron se
naap sakun raphtar saDak ki
buDhe shramikon ke enDi ki
phathan main sahlaungi
isse achchha kya hoga. . . ?
na samay kisi ka mere hisse
na chahega koi gandh meri
jag se hari ek viyogin
dekh mujhe muskayegi
isse achchha kya hoga. . .
ik bachcha anjana
gandh riti ka bhaan na ho
na chinta hogi maryada ki
pad jaisa abhiman na ho
khelega wo mere sang
isse achchha kya hoga. . .
phagun ke aane se pahle
path damak raha ho lali se
lajja se upar uthna hai
kahen svyambhu kali se
ban nishkam sundri jhar jaun
isse achchha kya hoga. . .
main semar ka phool banungi. . .
kisi devta ke dar par
nahin chaDhai jaungi. . .
स्रोत :
रचनाकार : आकृति विज्ञा 'अर्पण’
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.