तबादले का मतलब
एक शहर के जीवन से सभी चीज़ों का छूटना नहीं है
एक शहर से विदा होने का मतलब
स्मृतियों का समाप्त हो जाना नहीं है
मैं कमान से निकला हुआ तीर नहीं हूँ
जो नहीं लौटूँगा फिर!
मैं लौटूँगा तुम्हारे पास
पर उस तरह से नहीं
जैसे लौटकर आते हैं
हर बरसात में इस देश के कुछ हिस्सों में
प्रवासी पक्षियों के समूह
या जैसे लौट आते हैं
वसंत के महीने में पेड़ों पर नए पत्ते
या शाम आती है जैसे!
जीवन में उम्मीद और
किनारों पर लहरों की तरह लौटूँगा
मैं तुम्हारी नींद में लौटूँगा
किसी सुंदर सपने की तरह
लौटूँगा तुम्हारी त्वचा और साँस में
हवाओं के साथ
शायद लौटूँ पंछी बनकर
और तुम्हारे कमरे के रोशनदान पर बसेरा करूँ...
बहूँ तुम्हारे रक्त में तुम्हारे कुएँ का जल बनकर
बिखरूँ...
गुनगुनी धूप का टुकड़ा बनकर
सर्दियों के दिनों में तुम्हारी छत पर
देखना, तुम्हारे घर की ख़ाली ज़मीन पर
वनस्पति बनकर उगूँगा
और चौके में आऊँगा तुम्हारे पास
तुलसी की पत्तियाँ बन जाऊँगा तुम्हारे आँगन में
तुम खाँसी की तकलीफ़ में उबालकर मुझे पीना!
देखना मैं लौटूँगा कुछ ऐसे ही
और वह लौटना दिखाई नहीं देगा!
tabadale ka matlab
ek shahr ke jiwan se sabhi chizon ka chhutna nahin hai
ek shahr se wida hone ka matlab
smritiyon ka samapt ho jana nahin hai
main kaman se nikla hua teer nahin hoon
jo nahin lautunga phir!
main lautunga tumhare pas
par us tarah se nahin
jaise lautkar aate hain
har barsat mein is desh ke kuch hisson mein
prawasi pakshiyon ke samuh
ya jaise laut aate hain
wasant ke mahine mein peDon par nae patte
ya sham aati hai jaise!
nahin lautunga us tarah se!
jiwan mein ummid aur
kinaron par lahron ki tarah lautunga
main tumhari neend mein lautunga
kisi sundar sapne ki tarah
lautunga tumhari twacha aur sans mein
hawaon ke sath
shayad lautun panchhi bankar
aur tumhare kamre ke roshandan par basera karun
bahun tumhare rakt mein tumhare kuen ka jal bankar
bikhrun
gunguni dhoop ka tukDa bankar
sardiyon ke dinon mein tumhari chhat par
dekhana, tumhare ghar ki khali zamin par
wanaspati bankar ugunga
aur chauke mein aunga tumhare pas
tulsi ki pattiyan ban jaunga tumhare angan mein
tum khansi ki taklif mein ubalkar mujhe pina!
dekhana main lautunga kuch aise hi
aur wo lautna dikhai nahin dega!
tabadale ka matlab
ek shahr ke jiwan se sabhi chizon ka chhutna nahin hai
ek shahr se wida hone ka matlab
smritiyon ka samapt ho jana nahin hai
main kaman se nikla hua teer nahin hoon
jo nahin lautunga phir!
main lautunga tumhare pas
par us tarah se nahin
jaise lautkar aate hain
har barsat mein is desh ke kuch hisson mein
prawasi pakshiyon ke samuh
ya jaise laut aate hain
wasant ke mahine mein peDon par nae patte
ya sham aati hai jaise!
nahin lautunga us tarah se!
jiwan mein ummid aur
kinaron par lahron ki tarah lautunga
main tumhari neend mein lautunga
kisi sundar sapne ki tarah
lautunga tumhari twacha aur sans mein
hawaon ke sath
shayad lautun panchhi bankar
aur tumhare kamre ke roshandan par basera karun
bahun tumhare rakt mein tumhare kuen ka jal bankar
bikhrun
gunguni dhoop ka tukDa bankar
sardiyon ke dinon mein tumhari chhat par
dekhana, tumhare ghar ki khali zamin par
wanaspati bankar ugunga
aur chauke mein aunga tumhare pas
tulsi ki pattiyan ban jaunga tumhare angan mein
tum khansi ki taklif mein ubalkar mujhe pina!
dekhana main lautunga kuch aise hi
aur wo lautna dikhai nahin dega!
स्रोत :
रचनाकार : विनय सौरभ
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.